ज़िंदगी देने वाला ही जब मिल गया | ज़िंदगी के लिए और क्या चाहिए / Zindagi Dene Wala Hi Jab Mil Gaya | Zindagi Ke Liye Aur Kya Chahiye

ज़िंदगी देने वाला ही जब मिल गया
ज़िंदगी के लिए और क्या चाहिए
सर इबादत में पेशे-खु़दा झुक गए
बंदगी के लिए और क्या चाहिए

अपना मै’यार तो देख ऐ दिल ज़रा
मिल गए हैं तुझे सरवरे-अम्बिया
उनके जैसा भी क्या कोई मह़बूब है
आ़शिकी़ के लिए और क्या चाहिए

हुजरा-ए-आयशा याद है ना मुझे
क़ब्र के अब अंधेरों से क्यों डर लगे
क़ब्र में वो: मेरी मुस्कुरा दें ज़रा
रौशनी के लिए और क्या चाहिए

प्यारे बाबा की उम्मत से देखो ज़रा
महर है बख्शिशे-उम्मते-मुस्त़फ़ा
फ़ातिमा की दुआएं हमें मिल गईं
अब ख़ुशी के लिए और क्या चाहिए

उनका रौज़ा हो हाथों में ज़मज़म रहे
हम रहें और मदीने का मौसम रहे
लब पे ना’तें रहें गुन-गुनाते रहें
बे-ख़ुदी के लिए और क्या चाहिए

क्या ये उनके करम की ज़मानत नहीं
बोलिए क्या ये शाने-शफ़ाअ़त नहीं
उम्मती उम्मती कह रहे हैं हज़ूर
उम्मती के लिए और क्या चाहिए

दिल तो इश्क़ो-मुहब्बत की नगरी में है
मेरा घर ही ऐ अज़हर बरैली में है
बचपने में दयारे-रज़ा मिल गया
शायरी के लिए और क्या चाहिए

शायरे-इस्लाम:
ह़ज़रत मौलाना अज़हर फा़रूकी़

ना’त-ख़्वां:
ह़ज़रत गु़लाम गौस ग़ज़ाली


Zindagi dene waala hi jab mil gaya,
Zindagi ke liye aur kya chahiye,
Sar ibadat mein peshe-Khuda jhuk gaye
Bandagi ke liye aur kya chahiye

Apna mai’yaar to dekh ai dil zara
Mil gaye hain tujhe sarware-ambiya
Unke jaisa bhi kya koi mehboob hai
Aashiqi ke liye aur kya chahiye

Hujra-e-Ayesha yaad hai na mujhe
Qabr ke ab andheron se kyun dar lage
Qabr mein woh meri muskura dein zara
Raushni ke liye aur kya chahiye

Pyare Baba ki ummat se dekho zara
Mehr hai bakhshishe-ummate-Mustafa
Fatima ki duaaein hamein mil gayi
Ab khushi ke liye aur kya chahiye

Unka rauza ho haathon mein zamzam rahe
Ham rahein aur Madine ka mausam rahe
Lab pe na’atein rahein gun-gunaate rahein
Be-khudi ke liye aur kya chahiye

Kya ye unke karam ki zamaanat nahin
Boliye kya ye shaane-shafa’At nahin
Ummati Ummati keh rahe hain Huzoor
Ummati ke liye aur kya chahiye

Dil to ishqo-muhabbat ki nagri mein hai
Mera ghar hi ai Azhar Bareilly mein hai
Bachpane mein dayaare-Raza mil gaya
Shayari ke liye aur kya chahiye

Shayare-Islam:
Hazrat Maulana Azhar Farooqi

Na’at-Khwan:
Hazrat Ghulam Ghaus Ghazali