मुंतख़ब दर दीन-ओ-दुन्या आप हैं
शहकार-ए-हक़ त’आला आप हैं
वाहि़द-ए-वाहि़द भी आक़ा आप हैं
मुस्तफ़ा-ए-ज़ात-ए-यकता आप हैं
यक ने जिस को यक बनाया आप हैं
शिर्क कोई सल्फ़ में कहता नहीं
इस के रद्द में ख़ल्फ़ का फ़तवा नहीं
इस में कोई वक्फ़ा-ओ-सक्ता नहीं
आप जैसा कोई हो सकता नहीं
अपनी हर खू़बी में तनहा आप हैं
जिस के हैं मोहताज मोहताज-ओ-ग़नी
आँखें हैं मा-ज़ाग़ चेहरा मोहिनी
जिस के दम से चाँद की है चाँदनी
ला-मकाँ तक जिस की फैल़ी रौशनी
वो चराग़-ए-‘आलम-आरा आप हैं
‘अर्श-ओ-फ़र्श-ए-बहर-ओ-बर कौ़न-ओ-मकाँ
आप की मिदह़त में हैं रुत्ब-उल-लिसाँ
कह रहे हैं अहल-ए-हक़ भी यक-ज़बाँ
आप की खातिर बनाये दो जहाॅं
अपनी ख़ाति़र जो बनाया आप हैं
कीमिया-ए-दर्द-ए-जाँ जान-ए-त़ब़ीब
आप हैं मौमिन की जाँ से भी क़रीब
सदक़े जाऊँ जान-ए-जाॅं क्या है नसीब
आप को रब ने किया अपना ह़बीब
सारी ख़ल्क़त का ख़ुलासा आप हैं
मज़हर-ए-वहदत को देखा जान दी
नाइब-ए-कु़दरत को देखा जान दी
पुर ज़िया सूरत को देखा जान दी
आप की त़ल’अत को देखा जान दी
क़ब्र में पहुँचा तो देखा आप हैं
क़ासिम-ए-फ़ैज़ान-ए-रब्ब-ए-ज़ुल्जलाल
बाब-ए-तू बहर-ए-‘अता-ए-लाज़वाल
रहबर-ए-राग़िब ऐ शाह-ए-ख़ुश ख़िसाल
बर दरत आमद गदा बहर-ए-सुवाल
हो भला अख़्तर का दाता आप हैं
शायर-ए-इस्लाम:
ह़ज़रत ह़ज़रत हु़ज़ूर ताजुश्शरिया मुफ़्ती अख़्तर रज़ा ख़ान बरैलवी र.अ.
तज़मीन-निगार:
ह़ज़रत मिस्बाह़-उल-ह़क क़ादरी मदनी राग़िब
ना’त-ख़्वाॅं:
अज्ञात
Muntakhab Dar Deen-o-Duniya Aap Hain
Shahkaar-e-Haq Ta’aala Aap Hain
Wahid-e-Wahid Bhi Aaqa Aap Hain
Mustafa-e-Zaat-e-Yakta Aap Hain
Yak Ne Jis Ko Yak Banaya Aap Hain
Shirk Koi Salf Mein Kehta Nahi
Is Ke Radd Mein Khalf Ka Fatwa Nahi
Is Mein Koi Waqfa-o-Sakta Nahi
Aap Jaisa Koi Ho Sakta Nahi
Apni Har Khoobi Mein Tanha Aap Hain
Jis Ke Hain Mohtaaj Mohtaaj-o-Ghani
Aankhein Hain Ma-Zaagh Chehra Mohini
Jis Ke Dam Se Chaand Ki Hai Chaandni
La-Makaan Tak Jis Ki Phaili Roshni
Wo Chiraagh-e-‘Aalam-Aara Aap Hain
‘Arsh-o-Farsh-e-Bahr-o-Bar Kaun-o-Makaan
Aap Ki Mid’hat Mein Hain Rutb-ul-Lisaan
Keh Rahe Hain Ahl-e-Haq Bhi Yak-Zubaan
Aap Ki Khaatir Banaye Do Jahaan
Apni Khaatir Jo Banaya Aap Hain
Keemiya-e-Dard-e-Jaan Jaan-e-Tabib
Aap Hain Momin Ki Jaan Se Bhi Qareeb
Sadqe Jaaun Jaan-e-Jaan Kya Hai Naseeb
Aap Ko Rab Ne Kiya Apna Habib
Saari Khalqat Ka Khulasa Aap Hain
Mazhar-e-Wahdat Ko Dekha Jaan Di
Naib-e-Qudrat Ko Dekha Jaan Di
Pur Ziya Soorat Ko Dekha Jaan Di
Aap Ki Tal’at Ko Dekha Jaan Di
Qabr Mein Pahuncha To Dekha Aap Hain
Qasim-e-Faizan-e-Rabb-e-Zuljalal
Baab-e-Tu Bahr-e-‘Ataa-e-Laazwal
Rahbar-e-Raaghib Ai Shah-e-Khush Khisaal
Bar Darat Aamad Gada Bahr-e-Su’aal
Ho Bhala Akhtar Ka Daata Aap Hain
Shayar-e-Islam:
Hazrat Hazrat Huzur Tajushshariya Mufti Akhtar Raza Khan Bareilvi R.A.
Tazmeen-Nigaar:
Hazrat Misbah-ul-Haq Qadri Madni Raaghib
Na’at-Khwan:
Unknown