WhatsApp Join Naat Group

अम्मी ख़दीजा की मैं करूं कैसे मद्ह-ख़्वानी | Ammi Khadija ki main karun kaise madh-khwani, zauja hain Mustafa ki Hasanain ki hain naani

अम्मी ख़दीजा की मैं करूं कैसे मद्ह-ख़्वानी,
जौ़जा हैं मुस्त़फा़ की ह़सनैन की हैं नानी

मेरे नबी के घर का सिंगार बन गई हैं
गमखा़र के लिए भी गमखा़र बन गई है
दुख बांटती हैं उसका जो दीन का है बानी

जौ़जा हैं मुस्त़फा़ की ह़सनैन की हैं नानी

क्या ख़ूब जिंदगी है सरताज खु़द नबी है
मेरे नबी के घर में जो बजहे-रौशनी हैं
देखी है जिसने रब के महबूब की जवानी

जै़नब, रुक़य्या, उम्मे-कु़लसूम की भी माँ हैं
ज़हरा से लेके हर एक मज़लुम की भी माँ हैं
है जग में जो भी सय्यद उस माँ की है निशानी

मेरे तो दिल में बस एक ह़सरत यही ज़रा है
ऐ फा़ति़मा की अम्मी तुझ से ये इल्तिजा है
मेरी मांँ पे रौजे़-मह़शर कर देना महरबानी

ना’त-ख़्वां:
ह़ज़रत मुह़म्मद अ़ली फै़जी़


Ammi Khadija ki main karun kaise madh-khwani,
zauja hain Mustafa ki Hasanain ki hain naani

Mere Nabi ke ghar ka singaar ban gayi hain
Ghamkhaar ke liye bhi ghamkhaar ban gayi hain
Dukh baantTi hain uska jo deen ka hai baani

Kya khoob zindagi hai, sartaaj khud Nabi hai
Mere Nabi ke ghar mein jo bajHe-roshni hain
Dekhi hai jisne Rab ke Mehboob ki jawaani

Zainab, Ruqayya, Umme-Kulsoom ki bhi maan hain
Zahra se leke har ek mazloom ki bhi maan hain
Hai jag mein jo bhi Sayyad, us maa ki hai nishaani

Mere to dil mein bas ek hasrat yahi zara hai
Ae Fatima ki Ammi, tujh se yeh iltija hai
Meri maan pe roze-Mahshar kar dena mehrbani

Na’at-khwan:
Hazrat Muhammad Ali Faizi