ज़र्रे झड़ कर तेरी पैज़ारों के
ताजे-सर बनते हैं सय्यारों के
हम से चोरों पे जो फ़रमाएं करम
ख़िल्अ़ते-ज़र बनें पुश्तारों के
मेरे आक़ा का वो: दर है जिस पर
माथे घिस जाते हैं सरदारों के
मेरे ई़सा तेरे सदक़े जाऊं
त़ौर बे-त़ौर हैं बीमारों के
मुजरिमों चश्मे-तबस्सुम रखो
फूल बन जाते हैं अंगारों के
तेरे अब्रू के तसद्दुक़ प्यारे
बन्द कर्रे हैं गिरिफ़्तारों के
जानो-दिल तेरे क़दम पर वारे
क्या नसीबे हैं तेरे यारों के
सिद्क़ो-अ़दलो-करम व हिम्मत में
चार सू शोहरे हैं इन चारों के
बहरे-तस्लीमे-अ़ली मैदां में
सर झुके रहते हैं तलवारों के
कैसे आक़ाओं का बन्दा हूं रज़ा
बौल-बाले मेरी सरकारों के
शायरे-इस्लाम:
ह़ज़रत इमाम अहमद रज़ा क़ादरी (र.अ.)
ना’त-ख़्वां:
हज़रत असद रज़ा अत्तारी
Zarre jhad kar teri paizaaron ke
Taje-sar bante hain sayyaron ke
Ham se choro pe jo farmaaye karam
Khilate-zar bane pushtaaron ke
Mere Aaqa ka woh dar hai jis par
Mathe ghis jaate hain sardaaron ke
Mere Eisa tere sadqe jaoon
Taur be-taur hain beemaaron ke
Mujrimon chashme-tabsum rakho
Phool ban jaate hain angaaron ke
Tere abroo ke tasadduq pyaare
Band karre hain giriftaron ke
Jaano-dil tere qadam par vaare
Kya naseebe hain tere yaaron ke
Sidqo-adalo-karam wa himmat mein
Chaar soo shohre hain in chaaron ke
Bahre-taslime-Ali maidan mein
Sar jhuke rehte hain talwaron ke
Kaise Aqaon ka banda hoon Raza
Baul-baale meri sarkaaron ke
Shayare-Islam:
Hazrat Imam Ahmad Raza Qadri (R.A.)
Na’at-Khwan:
Hazrat Asad Raza Attari