ज़ख़्म मेरे सीने का धीरे धीरे सिल जाता
कांटो से गले मिलकर, फू़ल बनके खिल जाता
दाग़े-फुरकते-तैबा क़ल्ब मुज़महिल जाता
काश ग़ुमबदे-ख़ज़रा देखने को मिल जाता
जिन की बादशाहत है राज कुल ज़माने पर
दिल जहा का शैदा है हां उसी ठिकाने पर
मेरा दम निकल जाता उनके आसताने पर
उनके आसताने की ख़ाक में मैं मिल जाता
नूरी नूरी जलवो में वक़्त क्या बसर होता
वादिए-मदीना में काश मेरा घर होता
ख़ुल्द ज़ार तैबा का इस तरह सफ़र होता
पीछे पीछे मैं चलता आगे आगे दिल जाता
होशो-दिल ख़िरद लोगों कुछ न था मेरे बस में
हिजरो बे-क़रारी के आ गया था मैं ज़द में
फुरक़ते-मदीना ने वो: दिए मुझे सदमें
कोह पर अगर पढते कोह भी तो हिल जाता
याद कर लिया मुझ को और मिट गई दूरी
देखी न गई गुलफाम उनसे दिल की मजबूरी
उनके दर पे अख़्तर की हसरतें हुई पूरी
साइले-दरे-अक़दस कैसे मुनफइ़ल जाता
ना’त-ख़्वां:
हज़रत गुलफाम रज़ा हस्सानी
Zakhm mere seene ka dheere dheere sil jaata
Kaanton se gale milkar, phool banke khil jaata
Daage-furqate-Taiba qalb muzmuhil jaata
Kaash Gumbade-Khazra dekhne ko mil jaata
Jin ki badshahat hai raaj kul zamaane par
Dil jahan ka shaida hai haan usi thikane par
Mera dam nikal jaata unke aastane par
Unke aastane ki khaak mein main mil jaata
Noori Noori jalwon mein waqt kya basar hota
Waadi-e-Madina mein kaash mera ghar hota
Khuld-zaar Taiba ka is tarah safar hota
Peeche peeche main chalta aage aage dil jaata
Hosho-dil khirad logon kuch na tha mere bas mein
Hijro be-qarari ke aa gaya tha main zad mein
Furqate-Madina ne woh diye mujhe sadme
Koh par agar padte koh bhi to hil jata
Yaad kar liya mujh ko aur mit gayi doori
Dekhi na gayi Gulfaam unse dil ki majboori
Unke dar pe Akhtar ki hasratein huyi poori
Saaile-dare-Aqdas kaise munfa’il jaata
Na’at-Khwan:
Hazrat Gulfaam Raza Hassani