WhatsApp Order On WhatsApp

ये जिस गुल्दान के गुल हैं उसी गुलदान में रख दें | Ye jis guldaan ke gul hain usi guldaan mein rakh dein

ये जिस गुल्दान के गुल हैं उसी गुलदान में रख दें
नबी के ना’त के काग़ज़ चलो क़ुरआन में रख दें

यही एक फिक्र थी सिद्दीक़े-अकबर को शबे-हिजरत
मेरे सरकार अपनी जान मेरी जान में रख दें

शिकस्ता हो के खुद ही जगं क़दमों में चली आए
क़दम जब हज़रते -शेरे-खुदा मैदान में रख दें

उसे दूल्हा बना कर हश्र में ले जाया जाएगा
वो: जिस पर हाथ अपना हश्र के मैदान रख दें

ऐ अज़हर मोहसिने-इंसानियत है रह़मते-आ़लम
चलो ये आ गई दुनिया के हर इंसान में रख दें

ना’त-ख्वां:
हज़रत ग़ुलाम गौस गजा़ली

Ye jis guldaan ke gul hain usi guldaan mein rakh dein
Nabi ke na’at ke kaagaz chalo Quran mein rakh dein

Yahi ek fikr thi Siddeeqe-Akbar ko shabe-Hijrat
Mere Sarkar apni jaan meri jaan mein rakh dein

Shikasta ho ke khud hi jang qadmon mein chali aaye
Qadam jab Hazrate-Shere-Khuda maidan mein rakh dein

Use dulha bana kar hashr mein le jaya jaayega
Woh jis par haath apna hashr ke maidan rakh dein

Ai Azhar Mohsine-Insaniyat hai rahmate-a’alam
Chalo ye aa gayi duniya ke har insaan mein rakh dein

na’at-khwan:
Hazrat Ghulam Ghaus Ghazali