WhatsApp Join Naat Group

ये हम गुलामों की ह़सरत मिटा दिया जाए / Ye ham ghulamon ki hasrat mita diya jaaye

ये हम गुलामों की ह़सरत मिटा दिया जाए
हुजू़र अर्ज़ है तै़बा दिखा दिया जाए

शिफा़ जिसे नहीं मिलती कहीं ज़माने में
तो उस मरीज़ को ज़म-ज़म पिला दिया जाए

जिसे है देखना दुनिया में खु़ल्द का जलवा
उसे नबी का मादीना दिखा दिया जाए

उमर ने देख लिया जब हु़जू़र का चेहरा
कहा हु़जू़र से कलमा पढ़ा दिया जाए

कहा के सांप ने दीदार की तमन्ना है
ऐ यारे-गार अंगूठा हटा दिया जाए

वो: मिट गया है जो उल्झा है मेरे ख़्वाजा से
फसादियों को ज़रा ये बता दिया जाए

मिलेगी मस्जिदे-अक़्सा को फि़र से आज़ादी
अगर उ़मर को दोबारा बूला दिया जाए

जिसे नज़र नहीं आए हु़ज़ूर की अ़ज़मत
उसे बरैली का सुर्मा लागा दिया जाए

सुकून क़ल्ब को हा़सिल हो इस लिए अ़ज़मत
नबी की ना’त का नग़्मा सुना दिया जाए

ना’त-ख़्वां:
ह़ज़रत अ़ज़मत रज़ा भागलपुर


Ye ham ghulamon ki hasrat mita diya jaaye
Huzoor arz hai Taiba dikha diya jaaye

Shifa jise nahi milti kahin zamaane mein
To us mareez ko Zam-Zam pila diya jaaye

Jise hai dekhna duniya mein Khuld ka jalwa
Use Nabi ka Madina dikha diya jaaye

Umar ne dekh liya jab Huzoor ka chehra
Kaha Huzoor se Kalma padha diya jaaye

Kaha ke Saanp ne deedaar ki tamanna hai
Aye yaare-gaar angutha hata diya jaaye

Woh mit gaya hai jo uljha hai mere Khwaja se
Fasaadiyon ko zara ye bata diya jaaye

Milegi Masjide-Aqsa ko fir se aazaadi
Agar Umar ko dobara bula diya jaaye

Jise nazar nahi aaye Huzoor ki azmat
Use Bareilly ka surma laga diya jaaye

Sukoon qalb ko haasil ho is liye Azmat
Nabi ki Na’at ka naghma suna diya jaaye

Na’at-Khwan:
Hazrat Azmat Raza Bhagalpuri