यही तो एक ठिकाना है ठिकाना छोड़ कर आक़ा / Yahi To Ek Thikana Hai Thikana Chhod Kar Aaqa

यही तो एक ठिकाना है ठिकाना छोड़ कर आक़ा
कहां जाएं किधर जाएं मदीना छोड़ कर आक़ा

इशारा आप का एक बार बस एक बार हो जाए
मैं आ जाऊं मदीने में ज़माना छोड़ कर आक़ा

लिपट कर उनके क़दमों से ये आ़सी कह रहे होंगे
गुनहगारों को जन्नत में न जाना छोड़ कर आक़ा

हु़सैन इब्ने-अ़ली को लाज थी इस्लाम की वरना
कहां जाता है कोई आशियाना छोड़ कर आक़ा

उसी दिन से गुलो में खुश्बुओं की भीड़ रहती है
चमन में आए जिस दिन से पसीना छोड़ कर आक़ा

मैं तुझ बिन कुछ नहीं कुछ भी नहीं कुछ भी नहीं आक़ा
अंगूठी कुछ नहीं होती नगीना छोड़ कर आक़ा

उ़मर सरकार के क़दमों पे गिर कर बा-अदब बोले
नहीं जाएगा क़दमों को दीवाना छोड़ कर आका

ये अ़ज़मत उम्र भर करता रहेगा आपकी मिदहत
कहां जाएगा बख़्शिश का बहाना छोड़कर आक़ा

शायरे-इस्लाम:
ह़ज़रत अ़ज़मत रज़ा भागलपुरी

ना’त-ख़्वां:
ह़ज़रत अ़ज़मत रज़ा भागलपुरी


Yahi to ek thikaana hai thikaana chhod kar Aaqa
Kahaan jaayein kidhar jaayein Madina chhod kar Aaqa

Ishaara aap ka ek baar bas ek baar ho jaaye
Main aa jaaun Madine mein zamaana chhod kar Aaqa

Lipat kar unke qadamon se ye aasi keh rahe honge
Gunahgaaron ko jannat mein na jaana chhod kar Aaqa

Husain ibne-Ali ko laaj thi Islam ki warna
Kahan jaata hai koi aashiyaana chhod kar Aaqa

Usi din se gulon mein khushbuon ki bheed rehti hai
Chaman mein aaye jis din se paseena chhod kar Aaqa

Main tujh bin kuch nahi kuch bhi nahi kuch bhi nahi Aaqa
Angoothi kuch nahi hoti nageena chhod kar Aaqa

Umar Sarkar ke qadamoon pe gir kar ba-adab bole
Nahi jaayega qadamon ko deewana chhod kar Aaqa

Ye azmat umr bhar karta rahega aapki Midhat
Kahan jaayega bakhshish ka bahaana chhod kar Aaqa

Shayare-Islam:
Hazrat Azmat Raza Bhagalpuri

Na’at-Khwan:
Hazrat Azmat Raza Bhagalpuri