WhatsApp Join Naat Group

यही झूम कर बोला सारा ज़माना, बड़ा मुअ़तबर है नबी का घराना | Yahi Jhoom Kar Bola Saara Zamana, Bada MuAtabar Hai Nabi Ka Gharaana

अ़ली के दुलारों को सरकार मेरे
कभी सूंघ ते थे, कभी चूम ते थे
नवासों से नाना की चाहत तो देखो
है कैसी मुह़ब्बत कोई भी न जाना

यही झूम कर बोला सारा ज़माना
बड़ा मुअ़तबर है नबी का घराना

अबू बकरो-उसमानो-फारूको़-हैदर
यह खुल्फ़ा हैं आका़ के हम सबके रहबर
नबी ने बताया है इन सब की अज़मत
शहे-दीं की बातों को ना भूल जाना

अ़ली के ही जैसे थे अकबर के तेवर
मगर वो: रुके थे खु़दा की रजा़ पर
यजी़द और कोई जिंदा न बचता
अगर लड़ने जाता नबी का घराना

ना’त-ख़्वां:
हज़रत नूर अ़ली नूर कानपुरी

Ali ke dulaaron ko sarkar mere
Kabhi soonghte the, kabhi choomte the
Nawason se nana ki chahat to dekho
Hai kaisi muhabbat koi bhi na jaana

Yahi jhoom kar bola saara zamana
Bada muAtabar hai Nabi ka gharaana

Abu Bakaro-Usmano-Farooqo-Haidar
Yeh khulfa hain aaqa ke ham sabke rahbar
Nabi ne bataya hai in sab ki azmat
Shehe-deen ki baaton ko na bhool jaana

Ali ke hi jaise the Akbar ke tevar
Magar woh ruke the Khuda ki raza par
Yazeed aur koi zinda na bachta
Agar ladne jaata Nabi ka gharaana

Na’At-Khwan:
Hazrat Noor Ali Noor Kanpuri