WhatsApp Join Naat Group

शब्बीर के जमाल में सूरत नबी की है | वो: नवासा है नबी का | Shabbir ke jamaal mein soorat Nabi ki hai | Woh nawaasa hai Nabi ka

वो: नवासा है नबी का, वो: नवासा है नबी का

शब्बीर के जमाल में सूरत नबी की है
बस नाम है हुसैन का, ताक़त नबी की है

तुम समझे थे पानी के तलबगार खड़े हैं
सच ये है कि कौसर के ख़रीदार खड़े हैं

वो: नवासा है नबी का, वो: नवासा है नबी का

आवाज़ दे तो जन्नती कौसर निकल पड़े
नहर-ए-फ़ुरात ख़ैमे के अंदर निकल पड़े
वो सब्र का मक़ाम था वर्ना मेरा हुसैन
उँगली जहाँ लगा दे समंदर निकल पड़े

मौला ‘अली ने ‘इल्म का दरिया बहा दिया
शब्बीर ने सितम का क़िला पल में ढा दिया
ज़हरा की तर्बियत भी बड़ा काम कर गई
बेटे ने कर्बला को मदीना बना दिया

वो: नवासा है नबी का, वो: नवासा है नबी का

बै’अत या सर यही था तक़ाज़ा यज़ीद का
मायूस फिर भी दर से सवाली नहीं गया
बै’अत न की हुसैन ने सर दे दिया उसे
इस दर से तो यज़ीद भी ख़ाली नहीं गया

वो जिस के इंतिज़ार में रहमत खड़ी रही
क़दमों में जिस के शान व शौकत खड़ी रही
सज्दा मेरे हुसैन ने जब तक नहीं किया
मैदान-ए-कर्बला में शहादत खड़ी रही

वो: नवासा है नबी का, वो: नवासा है नबी का

असग़र को भी मुजाहिद-ए-अकबर कहूँगा मैं
ऐसा जहाँ में और कोई सूरमा नहीं
बस मुस्कुरा के रन में क़यामत मचा गया
ये ख़ैरियत हुई कि वो खुल कर हँसा नहीं

खूँ से चराग़-ए-दीन जलाया हुसैन ने
रस्म-ए-वफ़ा को ख़ूब निभाया हुसैन ने

ख़ुद ने तो एक बूँद भी पानी नहीं पिया
कर्ब-ओ-बला को ख़ून पिलाया हुसैन ने

ऐसी नमाज़ कौन पढ़ेगा जहान में
सज्दा किया तो सर न उठाया हुसैन ने

ना’त-ख़्वाँ:
हज़रत सैफ़ रज़ा कानपुरी

Woh nawaasa hai Nabi ka, wo nawasa hai Nabi ka

Shabbir ke jamaal mein soorat Nabi ki hai
Bas naam hai Hussain ka, taaqat Nabi ki hai

Tum samjhe the paani ke talabgaar khade hain
Sach yeh hai ke kausar ke kharidaar khade hain

Woh nawaasa hai Nabi ka, wo nawasa hai Nabi ka

Awaaz de to jannati kausar nikal pade
Nahr-e-Furaat khaime ke andar nikal pade
Wo sabr ka maqam tha warna mera Hussain
Ungli jahan laga de samandar nikal pade

Moula Ali ne ilm ka dariya baha diya
Shabbir ne sitam ka qila pal mein dha diya
Zahra ki tarbiyat bhi bada kaam kar gayi
Bete ne Karbala ko Madina bana diya

Woh nawaasa hai Nabi ka, wo nawasa hai Nabi ka

Bai’at ya sar yahi tha taqaza Yazid ka
Mayus phir bhi dar se sawali nahi gaya
Bai’at na ki Hussain ne sar de diya usay
Is dar se to Yazid bhi khaali nahi gaya

Wo jis ke intizaar mein rehmat khadi rahi
Kadmon mein jis ke shaan-o-shaukat khadi rahi
Sajda mere Hussain ne jab tak nahi kiya
Maidan-e-Karbala mein shahadat khadi rahi

Woh nawaasa hai Nabi ka, wo nawasa hai Nabi ka

Asghar ko bhi mujahid-e-akbar kahunga main
Aisa jahan mein aur koi soorma nahi
Bas muskara ke ran mein qayamat macha gaya
Yeh khairiyat hui ke wo khul kar hansa nahi

Khoon se charagh-e-deen jalaya Hussain ne
Rasm-e-wafa ko khoob nibhaya Hussain ne

Khud ne to ek boond bhi paani nahi piya
Karb-o-bala ko khoon pilaya Hussain ne

Aisi namaz kaun padhega jahaan mein
Sajda kiya to sar na uthaya Hussain ne

Na’at-khwan:
Hazrat Saif Raza Kanpuri