वो मेरा उमर मेरा उमर मेरा उमर है / Wo Mera Umar Mera Umar Mera Umar Hai

ख़ुशबू-ए-गुल-ए-बाग़-ए-रिसालत से जो तर है
वो मेरा ‘उमर, मेरा ‘उमर, मेरा ‘उमर है

सरकार-ए-मदीना का जिसे चाहिए सदक़ा
फैलाए हुए दामन-ए-दिल आए वो मंगता
सख़ियों में सख़ी ह़ज़रत-ए-फ़ारूक़ का दर है

उस को है मिली सारे जहाँ में बड़ी ‘इज़्ज़त
दरियाओं तलक उस ने है कर डाली हु़कूमत
आक़ा की ‘इनायत से जो बेबाक-ओ-निडर है

सिद्दीक़ की पूर-नूर सदा साथ है जिस के
उस्मान-ए-ग़नी की भी सना साथ है जिस के
ऐ मौला ‘अली जिस से डरा कुफ़्र है शर है

दीदार कराएँगे शाह-ए-दीं की ‘अता़ से
लाएँगे वो तशरीफ़ कभी फ़ज़्ल-ए-ख़ुदा से
जिस के लिए मुश्ताक़ मेरी आज नज़र है

बातिल में कहाँ इतनी मजाल आँख दिखाए
भागे हैं ये मैदाॅं से सदा मुँह को छुपाए
जिस ज़ात की हैबत से झुका ज़ुल्म का सर है

वो दुश्मन-ए-इस्लाम के आगे नहीं झुकता
कुफ़्फ़ार से मज़लूम को आज़ाद कराता
आक़ा की मोह़ब्बत से भरा उसका जिगर है

मशहूद रज़ा नाज़ करे जिस पे ज़माना
बे-ख़ौफ़-ओ-ख़तर कहता रहे जिस का दीवाना
जो सैय्यद-ए-कौनेन का एक शेर-ए-बबर है

शायर-ए-इस्लाम:
ह़ज़रत मशहूद रज़ा क़ादरी बलरामपुरी

ना’त-ख़्वाॅं:
ह़ज़रत मशहूद रज़ा क़ादरी बलरामपुरी


Khushboo-e-gul baagh-e-Risaalat se jo tar hai
Woh mera ‘Umar, mera ‘Umar, mera ‘Umar hai

Sarkaar-e-Madina ka jise chaahiye sadqa
Phailaaye hue daaman-e-dil aaye wo mangta
Sakhiyon mein sakhi Hazrat-e-Farooq ka dar hai

Usko hai mili saare jahaan mein badi ‘izzat
Dariyaon talak usne hai kar daali hukoomat
Aaqa ki ‘inaayat se jo bebaak-o-nidar hai

Siddeeq ki par-noor sada saath hai jis ke
Usmaan Ghani ki bhi sana saath hai jis ke
Ai Maula ‘Ali jis se dara kufr hai shar hai

Deedaar karayenge Shah-e-deen ki ‘ata se
Laayenge woh tashreef kabhi Fazl-e-Khuda se
Jis ke liye mushtaaq meri aaj nazar hai

Baatil mein kahaan itni majaal aankh dikhaaye
Bhaage hain ye maidaan se sada munh ko chhupaaye
Jis zaat ki haibat se jhuka zulm ka sar hai

Wo dushman-e-Islam ke aage nahin jhukta
Kuffaar se mazloom ko aazaad karata
Aaqa ki mohabbat se bhara uska jigar hai

Mashhood Raza naaz kare jis pe zamaana
Bekhauf-o-khatar kehta rahe jis ka deewana
Jo Sayyad-e-Kaunain ka ek sher-e-babar hai

Shayar-e-Islam:
Hazrat Mashhood Raza Qadri Balrampuri

Na’at-Khwan:
Hazrat Mashhood Raza Qadri Balrampuri