WhatsApp logo Join Naat Group

वो बाद-ए-ख़ुदा दुनिया की हर शै से है माक़ूल | सर-ता-ब-क़दम है तन-ए-सुल्तान-ए-ज़मन फूल तज़मीन के साथ / Wo Baad-E-Khuda Duniya Ki Har Shai Se Hai Maquool | Sar-Ta-Ba-Qadam Hai Tan Sultan-e-Zaman phool With Tazmeen

वो बाद-ए-ख़ुदा दुनिया की हर शै से है मा’क़ूल
हैं शाफ़े-ए-महशर, वो दो ‘आलम में हैं मक़बूल
जो अपनी तरह कहता है उसकी है बड़ी भूल
सर-ता-ब-क़दम है तन-ए-सुल्तान-ए-ज़मन फूल
लब फूल, दहन फूल, ज़क़न फूल, बदन फूल

ये ज़ख़्म गुनाहों का है हम से नहीं सिलता
कोशिश से हमारी कोई ग़ुंचा नहीं खिलता
बिन आप के मंज़िल का निशाॅं भी नहीं मिलता
तिनका भी हमारे तो हिलाए नहीं हिलता
तुम चाहो तो हो जाए अभी कोह-ए-महन फूल

ले जाए किसी रौज़ ये तक़दीर मदीना
सरकार के जल्वों से मुनव्वर हो ये सीना
ये क़ल्ब मु’अत्तर हो, निकल जाए वो कीना
वल्लाह जो मिल जाए मेरे गुल का पसीना
मांगे न कभी इत्र न फिर चाहे दुल्हन फूल

करते हैं दवा वो तो हर एक रंज़-ओ-अलम की
है सब से जुदा आल मेरे शाह-ए-उमम की
तहरीर ये सच है ऐ शहा तेरे क़लम की
क्या बात रज़ा उस चमनिस्तान-ए-करम की
ज़हरा है कली जिसमें हु़सैन और ह़सन फूल

शायरे-इस्लाम:
ह़ज़रत इमाम अहमद रज़ा क़ादरी (र.अ.)

तज़मीन-निगार:
अज्ञात

ना’त-ख़्वां:
अज्ञात


Wo baad-e-Khuda duniya ki har shai se hai ma’quool
Hain shafee-e-mahshar, wo do ‘aalam mein hain maqbool
Jo apni tarah kehta hai uski hai badi bhool
Sar-ta-ba-qadam hai tan-e-Sultan-e-Zaman phool
Lab phool, dahan phool, ziqan phool, badan phool

Ye zakhm gunaahon ka hai hum se nahin silta
Koshish se humaari koi guncha nahin khilta
Bin aap ke manzil ka nishaan bhi nahin milta
Tinka bhi humaare to hilaaye nahin hilta
Tum chaho to ho jaaye abhi Koh-e-Mahan phool

Le jaaye kisi rauz ye taqdeer Madina
Sarkar ke jalwon se munawwar ho ye seena
Ye qalb mu’attar ho, nikal jaaye wo keena
Wallah jo mil jaaye mere gul ka paseena
Maange na kabhi itr na phir chahe dulhan phool

Karte hain dawa wo to har ek ranj-o-alam ki
Hai sab se juda aalam mere Shah-e-umam ki
Tahreer ye sach hai ai Shaha tere qalam ki
Kya baat Raza us chamanistan-e-karam ki
Zahra hai kali jisme Husain aur Hasan phool

Shayare-Islam:
Hazrat Imam Ahmad Raza Qadri (R.A.)

Tazmeen-Nigaar:
Unknown

Na’at-Khwan:
Unknown