WhatsApp Join Naat Group

उनकी राहों में निगाहों को बिछा रखा है / unki raahon men nigaahon ko bichha rakha hai | Farooq Raza barkati dehlwi


उनकी राहों में निगाहों को बिछा रखा है,
दिल को सरकार का दीवाना बना रखा है.

एक सिद्दीक़ हैं और दूसरे फारूक़ जिन्हें
मेरे सरकार ने पहलू में सुला रखा है

उनकी राहों में निगाहों को बिछा रखा है,

देखो बहलूल तो करते हैं खुदा से बाते
लोग कहते हैं के क्या हाल बना रखा हैं

जो भी सरकार को देखे वो: यही कहता है
हुस्न-ए-आक़ा के सिवा खुल्द में क्या रखा है

ताक़त-ए-ना’रा-ए’तकबीर बताऊं कैसे
एक ना’रे ने ज़माने को हिला रखा है

कौन कब किस जगह दौजख़ के हवाले होगा
मेरे सरकार ने पहले से बता रखा है

उसको फारूक़ गिरा पाए न दुश्मन कोई
जिसको सरकार-ए-दो आलम ने उठा रखा है

उनकी राहों में निगाहों को बिछा रखा है,

ना’त-ख्वां:
हज़रत फारूक रज़ा बरकाती देहलवी


unki raahon men nigaahon ko bichha rakha hai,
dil ko sarkaar ka deewana bana rakha hai.

ek siddeeq hain aur dusre farooq jinhen
mere sarkar ne pehlu men sula rakha hai

unki raahon men nigaahon ko bichha rakha hai,

dekho bahlool to karte hain khuda se baaten
log kehte hain ki kya haal bana rakha hai

jo bhi sarkar ko dekhe woh yahi kehta hai
husn-e-aaqa ke siwa khuld me kya rakha hai

taaqat-e-na’ara-e’takbeer bataaun kaise
ek na’are ne zamaane ko hila rakha hai

kaun kab kis jagah dauzakh ke hawale hoga
mere sarkaar ne pehle se bata rakha hai

usko farooq gira paaye na dushman koi
jisko sarkar-e-do aalam ne utha rakha hai

unki raahon men nigaahon ko bichha rakha hai,

Na’at-khwan:
Hazrat Farooq Raza barkati dehlwi