तेरे मेरे सरकार तशरीफ़ लाए
करम वाले सरकार तशरीफ़ लाए
घरों पर लगाए हैं झंडे मुसलमां
खिले चेहरे सरकार तशरीफ़ लाए
सदा मरहबा की हर एक सिम्त गूंजी
लगे नारे सरकार तशरीफ़ लाए
दरूदों की डाली सजा कर लबों पर
कहा सब ने सरकार तशरीफ़ लाए
मिली बेटियों को नई ज़िंदगी जब
मेरे प्यारे सरकार तशरीफ़ लाए
वहीं रहमतों की हुई खूब बारिश
जहां मेरे सरकार तशरीफ़ लाए
थे जो बेज़बां वो: भी मसरूर होकर
पुकार उठे सरकार तशरीफ़ लाए
हुआ फ़ज़्ले-मौला कि हम आसियों के
मज़े आए सरकार तशरीफ़ लाए
हुए शाद जितने थे ग़मगीन आफ़ी
दो आ़लम के सरकार तशरीफ़ लाए
शायरे-इस्लाम:
ह़ज़रत ग़ुलाम समदानी आफ़ी क़ादरी
Tere mere Sarkar tashreef laaye
Karam waale Sarkar tashreef laaye
Gharon par lagaaye hain jhande Musalman
Khile chehre Sarkar tashreef laaye
Sada marhaba ki har ek simt goonji
Lage nare Sarkar tashreef laaye
Daroodon ki daali saja kar labon par
Kaha sab ne Sarkar tashreef laaye
Mili betiyon ko nayi zindagi jab
Mere pyare Sarkar tashreef laaye
Wahin rehmaton ki hui khoob barish
Jahan mere Sarkar tashreef laaye
The jo bezuban wo bhi masroor hokar
Pukaar uthe Sarkar tashreef laaye
Hua fazle-Maula ke hum aasion ke
Maze aaye Sarkar tashreef laaye
Hue shaad jitne the ghamgeen Aafi
Do a’alam ke Sarkar tashreef laaye
Shayare-Islam:
Hazrat Ghulam Samdani Aafi Qadri