WhatsApp logo Join Naat Group

सुना है बे-कसो के घर मेरे सरकार आते हैं / Suna Hai Be-Kaso Ke Ghar Mere Sarkar Aate Hain

सुना है बे-कसो के घर मेरे सरकार आते हैं
ग़मे-दिल की दवा बनकर मेरे सरकार आते हैं

ग़मों की धूप में जब भी गिरा हूं ठोकरे खा कर
उठा ने के लिए अक्सर मेरे सरकार आते हैं

क़सूर अपनी निगाहों का है वरना आ़शिकों देखो
सरे महफ़िल में ही अक्सर मेरे सरकार आते हैं

यतीमो को मुबारक हो उन्हें दुनिया ने गर छोड़ा
उठा ने अपने कांधों पर मेरे सरकार आते हैं

कफ़न पहना के जब मुझको उठाना चाहो ऐ लोगों
ज़रा देखो खड़े हो कर मेरे सरकार आते हैं

लहद की सख़्त रातों से मुझे डर था मगर अब तो
सुना है रौशनी ले कर मेरे सरकार आते हैं

ना’त-ख़्वां:
ह़ज़रत सैफ़ रज़ा कानपुरी


Suna hai be-kaso ke ghar mere Sarkar aate hain
Ghame-dil ki dawa ban kar mere Sarkar aate hain

Ghamon ki dhoop mein jab bhi gira hoon thokare kha kar
Uthāne ke liye aksar mere Sarkar aate hain

Qasoor apni nigaahon ka hai warna aashiqon dekho
Sare mehfil mein hi aksar mere Sarkar aate hain

Yateemon ko mubarak ho unhein duniya ne gar chhoda
Uthāne apne kandhon par mere Sarkar aate hain

Kafan pehna ke jab mujhko uthana chaho ae logon
Zara dekho khade ho kar mere Sarkar aate hain

Lahad ki sakht raato se mujhe dar tha magar ab to
Suna hai roshni le kar mere Sarkar aate hain

Na’at-Khwan:
Hazrat Saif Raza Kanpuri