सूरज का चमकना तो बस एक बहाना है
सरकार के जलवों से रोशन ये ज़माना है
खुद खाना नहीं खाया, औरों को खिलाया है
हम जैसे गरीबों को सीने से लगाया है
ऐ प्यारे अ़ली तेरा एक ऐसा घराना है
पढ़-पढ़ के दरूदों को तक़दीर जगाना है
और आज हमें अपनी झोली को भराना है
सरकार की महफ़िल है, सरकार को आना है
ग़ोसे-समदानी की अ़ज़मत कोई क्या जाने
रब जाने, नबी जाने, या मौला अ़ली जाने
बग़दाद में रहकर भी नज़रों में ज़माना है
वो: शान में आ़ली हैं, वो: हिंद के वाली हैं
मायूस नहीं होते जो उनके सवाली हैं
दरबार में ख़्वाजा के रह़मत का ख़ज़ाना है
जो दिल में लिए मेरे आका़ की मुह़ब्बत है
या’नी आ़ला हज़रत दुनिया की ज़रूरत है
इस्लाम से बातिल के दिल को दहलाना है
ना’त-ख़्वां:
ह़ज़रत मरह़ूम सज्जाद निज़ामी
Sooraj ka chamakna to bas ek bahana hai
Sarkar ke jalwon se roshan ye zamana hai
Khud khana nahin khaya, auron ko khilaya hai
Ham jaise gareebon ko seene se lagaya hai
Ai Pyare Ali tera ek aisa gharana hai
Padh-padh ke duroodon ko taqdeer jagana hai
Aur aaj hamein apni jholi ko bharana hai
Sarkar ki mehfil hai, Sarkar ko aana hai
Ghause-Samadhani ki azmat koi kya jaane
Rab jaane, Nabi jaane, ya Moula Ali jaane
Baghdad mein rehkar bhi nazron mein zamana hai
Woh shaan mein a’ali hain, woh Hind ke waali hain
Mayus nahin hote jo unke sawaali hain
Darbar mein Khwaja ke rehmat ka khazana hai
Jo dil mein liye mere Aaqa ki muhabbat hai
Ya’ani A’ala Hazrat duniya ki zaroorat hai
Islam se baatil ke dil ko dehlana hai
Na’at-Khwan:
Hazrat Marhoom Sajjad Nizami