WhatsApp Join Naat Group

शेरे-ख़ुदा के शेर का तेवर नहीं झुका / Shere-Khuda Ke Sher Ka Tewar Nahin Jhuka | Gulam Ghaus Ghazali

ताक़त लगा दी पूरी की पूरी यज़ीद ने
लेकिन मेरे हुसैन का एक सर नहीं झुका

शेरे-ख़ुदा के शेर का तेवर नहीं झुका
या’नी कहीं से नामे-बहत्तर नहीं झुका

ऐं शिम्र तू हुसैन को कैसे झुकाए गा
तुझ से तो एक छोटा सा असग़र नहीं झुका

आक़ा ने फ़िर कहा के अली को बुलाइए
आख़िर किसी से जब दरे-ख़ैबर नहीं झुका

दामन मिला है जब से मुझे अहले -बैत का
उस रोज़ से कभी कहीं अज़हर नहीं झुका

ना’त-ख़्वां:
हज़रत ग़ुलाम ग़ौस ग़ज़ाली

Taaqat laga di poori ki poori Yazeed ne
Lekin mere Husain ka ek sar nahi jhuka

Shere-Khuda ke sher ka tewar nahin jhuka
Ya’ni kahin se naame-bahattar nahin jhuka

Ain Shimr tu Husain ko kaise jhukaaye ga
Tujh se to ek chhota sa Asghar nahi jhuka

Aaqa ne phir kaha ke Ali ko bulaaiye
Aakhir kisi se jab dare-Khaibar nahi jhuka

Daman mila hai jab se mujhe Ahle-Bait ka
Us roz se kabhi kahin Azhar nahi jhuka

Na’at-khwan:
Hazrat Ghulam Ghaus Ghazali