सय्यद-ए-कौनेन का शैदा हूँ मैं
ना’त उनकी हर घड़ी पढ़ता हूँ मैं
है बड़ा तौह़फ़ा यही मेरे लिए
उल्फ़त-ए-सरकार में जीता हूँ मैं
मुझ को दीवानों न छेड़ो इस घड़ी
उनकी बज़्म-ए-नाज़ में बैठा हूँ मैं
शहर-ए-जान-ए-जाँ को जाने के लिए
इज़्न-ए-शह का मुन्तज़िर रहता हूँ मैं
‘अर्श-ए-आ’ज़म से कहा ये फ़र्श ने
निस्बत-ए-आक़ा मिली आ’ला हूँ मैं
लुत्फ़ मिलता है मुझे, सरकार के
‘इश्क़ में जब ग़ोता-ज़न होता हूँ मैं
हूँ मुक़द्दर का सिकंदर मुन्तज़िम
मिदह़त-ए-सरकार जो करता हूँ मैं
शायर-ए-इस्लाम:
ह़ज़रत मुन्तज़िम हुनर झारखंड
ना’त-ख़्वां:
ह़ज़रत मुन्तज़िम हुनर झारखंड
Sayyad-e-Kaunain ka shaida hoon main
Na’at unki har ghadi padhta hoon main
Hai bada tauhfa yahi mere liye
Ulfat-e-Sarkar mein jeeta hoon main
Mujh ko deewanon na chhedo is ghadi
Unki bazm-e-naaz mein baitha hoon main
Shahr-e-jaan-e-jaan ko jaane ke liye
Izn-e-Shah ka muntazir rehta hoon main
‘Arsh-e-Aa’zam se kaha ye farsh ne
Nisbat-e-Aaqa mili aa’la hoon main
Lutf milta hai mujhe, Sarkaar ke
‘Ishq mein jab ghota-zan hota hoon main
Hoon muqaddar ka Sikandar muntazim
Midhat-e-Sarkaar jo karta hoon main
shayar-e-islam:
Hazrat Muntazim Hunar Jharkhand
Na’at-Khwan:
Hazrat Muntazim Hunar Jharkhand