सरवर-ए-कौन-ओ-मकाँ की हर अदा की बात कर / Sarwar-e-Kon-O-Makan Ki Har Ada Ki Bat Kar

सरवर-ए-कौन-ओ-मकाँ की हर अदा की बात कर
रहमत-ए’आलम सरापा मौ’जिज़ा की बात कर

जिन के सर सेहरा शफ़ा’अत का सजेगा ह़श्र में
बे झिझक तू शाफ़ि-ए-रौज़-ए-जज़ा की बात कर

आज तक खा़ली न लौटा माँगने वाला कोई
फिर न क्यूँ आक़ा के दरिया-ए-‘अता़ की बात कर

मोमिन-ए-कामिल अगर बनने की ख़्वाहिश है तो फिर
प्यार के साँचे में ढल कर मुस्त़फ़ा की बात कर

कुफ़्र की गर्दन मरोड़ी दीन को बख़्शी जिला
बानी-ए-इस्लाम महबूब-ए-ख़ुदा की बात कर

सूखी टहनी दी सहाबा को बनी तलवार वो
ऐसे कु़दरत वाले दस्‍त-ए-मुस्तफ़ा की बात कर

जिस में रख्खी है शिफ़ा ख़ालिक ने अपने फ़ज़्ल से
फ़ाति़मा ज़ेहरा की पाकीज़ा ह़या की बात कर

जिस में रख्खी है शिफ़ा ख़ालिक ने अपने फ़ज़्ल से
मुस्त़फ़ा के शहर-ए-अनवर की हवा की बात कर

चाहता है गुमरही से बचना गर तू सुन ज़रा
मुस्त़फ़ा के सारे अस्हाब-ए-हुदा की बात कर

जिस को जो चाहा नवाज़ा सय्यद-ए-लौलाक ने
चल ऐ ख़ालिद रहमतों वाली अदा की बात कर

शायर-ए-इस्लाम:
ह़ज़रत खालिद ह़शमत ह़शमती

ना’त-ख़्वाॅं:
ह़ज़रत खालिद ह़शमत ह़शमती


Sarwar-e-Kaun-o-Makaan ki har ada ki baat kar
Rehmat-e-‘Aalam saraapa mau’jiza ki baat kar

Jin ke sar sehra shafa’at ka sajega Hashr mein
Be jhijhak tu shafi-‘e-Rauz-e-Jaza ki baat kar

Aaj tak khaali na lauta maangne waala koi
Phir na kyun aaqa ke dariya-e-‘Ata ki baat kar

Maumin-e-Kaamil agar banne ki khwahish hai to phir
Pyaar ke saanche mein dhal kar Mustafa ki baat kar

Kufr ki gardan maroode deen ko bakhshi zila
Baani-e-Islam Mahboob-e-Khuda ki baat kar

Sukhi tahni di Sahaaba ko bani talwaar wo
Aise Qudrat waale dast-e-Mustafa ki baat kar

Jis mein rakkhi hai shifa Khaaliq ne apne fazl se
Fatima Zehra ki paakeeza haya ki baat kar

Jis mein rakkhi hai shifa Khaaliq ne apne fazl se
Mustafa ke Shehr-e-Anwar ki hawa ki baat kar

Chahta hai gumrahi se bachna gar tu sun zara
Mustafa ke saare Ashab-e-Huda ki baat kar

Jis ko jo chaaha nawaaza Sayyad-e-Lauulak ne
Chal ai Khalid rehmaton waali ‘ada ki baat kar

shayar-e-islam:
Hazrat Khalid Hashmat Hashmati

na’at-khwan:
Hazrat Khalid Hashmat Hashmati