सरकारे-मुस्तफा से मिलाते हैं गौसे-पाक / Sarkare-Mustafa Se Milaate Hain Ghause-Paak

सरकारे-मुस्त़फ़ा से मिलाते हैं ग़ौसे-पाक
बग़दाद वाले जलवा दिखाते हैं ग़ौसे-पाक

मशहूर है जहां में करामत ये बिल-यक़ीं
ठोकर से अपने मुरदे जिलाते हैं ग़ौसे-पाक

बारह बरस की कश्ती जो डूबी थी आन में
फ़ज़्ले-ख़ुदा से पल में तैराते हैं ग़ौसे-पाक

वल्लाह! क्या है मर्तबा आले-रसूल का
बग़दाद की ज़मीं पे बताते हैं ग़ौसे-पाक

इश्क़ो-वफ़ा का जाम पिला कर ग़ुलामों को
मौला अ़ली से पल में मिलाते हैं ग़ौसे-पाक

वल्लाह सारी नेअमतें कुल काएनात को
देता ख़ुदा है और दिलाते हैं ग़ौसे-पाक

हामी नहीं है कोई भी जिनका जहान में
असग़र गले से उनको लगाते हैं ग़ौसे-पाक

ना’त-ख़्वां:
ह़ज़रत इमरान हु़सैन


Sarkare-Mustafa Se Milaate Hain Ghause-Paak
Baghdad wale jalwa dikhate hain Ghause-Paak

Mashhoor hai jahan mein karamat ye bil-yaqeen
Thokar se apne murde jilate hain Ghause-Paak

Barah baras ki kashti jo doobi thi aan mein
Fazl-e-Khuda se pal mein tairate hain Ghause-Paak

Wallah! Kya hai martaba Aale-Rasool ka
Baghdad ki zameen pe batate hain Ghause-Paak

Ishqo-wafa ka jaam pila kar ghulamon ko
Moula Ali se pal mein milate hain Ghause-Paak

Wallah! Saari ne’matein kul kaainaat ko
Deta Khuda hai aur dilate hain Ghause-Paak

Haami nahi hai koi bhi jinka jahan mein
Asghar gale se unko lagate hain Ghause-Paak

Na’at-Khwan:
Hazrat Imran Hussain