सरकार करम हो सरकार करम हो
मज़लूम पे भी अहमदे-मुख़्तार करम हो
ऐ अमिना के दिलबरो-दिलदार करम हो
दिल की है दुआ सय्यदे-अबरार करम हो
मोमिन है फिलिस्तीन में लाचार करम हो
ऐ शाहे-उमम नबियों के सरदार करम हो
सरकार करम हो सरकार करम हो
गाज़ा में फिलिस्तीन में क़यामत सी है आई
जिस सिम्त देखो लाशें ही लाशें हैं बिछाई
मज़लूम ने रो रो के यही दी है दुहाई
बेचारों बे-सहारों पे एक बार करम हो
सरकार करम हो सरकार करम हो
हम लोग गुनहगार सियाकर हैं आक़ा
लेकिन तेरी रहमत के तलब गार हैं आक़ा
उम्मीद मेरी तुझसे ही हर बार है आक़ा
करते हैं दुआ मुफ़लिसो-नादार करम हो
सरकार करम हो सरकार करम हो
रानाआए दुनिया में जो मसरूर हुई हैं
और दीन-ए-इलाही से जो भी दूर हुए हैं
पैसों के नशे में जो यहां चूर हुए हैं
हो जाएं मुसलमान ये बेदार करम हो
सरकार करम हो सरकार करम हो
उस आशिके़-सरकार के लब पे ये सदा है
नामूसे-नबी के लिए ये जान फि़दा है
वो: जेल से बाहर हो ये दानिश की दुआ है
सलमान अज़हरी हैं गिरफ़्तार करम हो
सरकार करम हो सरकार करम हो
ना’त-ख्वां:
ह़ज़रत मेहताब दानिश
- ये भी पढ़ें: सरकार का मदीना सरकार का मदीना | Sarkar ka Madina Sarkar ka Madina | Ahmadul-Fattah Faizabadi naat
Sarkar karam ho sarkar karam ho
Mazloom pe bhi Ahmade-Mukhtar karam ho
Ai Aamina ke dilbaro-dildar karam ho
Dil ki hai dua Sayyade-Abrar karam ho
Momin hai Filisteen mein lachaar karam ho
Ai Shahe-ummam Nabiyon ke sardar karam ho
Sarkar karam ho sarkar karam ho
Gaza mein Filisteen mein qayaamat si hai aayi
Jis simt dekho laashen hi laashen hain bichhaayi
Mazloom ne ro ro ke yahi di hai duhaayi
Becharon be-saharon pe ek baar karam ho
Sarkar karam ho sarkar karam ho
Ham log gunahgaar siyaakaar hain aaqa
Lekin teri rehmat ke talabgaar hain aaqa
Ummeed meri tujhse hi har baar hai aaqa
Karte hain dua mufliso-naadaar karam ho
Sarkar karam ho sarkar karam ho
Raana aaye duniya mein jo masroor huyi hain
Aur Deene-Ilaahi se jo bhi door hue hain
Paiso ke nashe mein jo yahaan choor hue hain
Ho jaayein Musalmaan ye bedaar karam ho
Sarkar karam ho sarkar karam ho
Us aashiqe-sarkar ke lab pe ye sada hai
Naamoose-Nabi ke liye ye jaan fida hai
Woh jail se bahar ho ye Danish ki dua hai
Salman Azhari hain giriftaar karam ho
Sarkar karam ho sarkar karam ho
Na’at-Khwan:
Hazrat Mehtab Danish