सारी सदियों पे जो भारी है वो लम्हा मिलता / Sari Sadiyon Pe Jo Bhari Hai Wo Lamha Milta

सारी सदियों पे जो भारी है वो लम्हा मिलता
काश सरकारे-दो-‘आलम का ज़माना मिलता

आप को देखता मैं मक्का से हिजरत करते
आप का नक़्श-ए-कदम, आप का रस्ता मिलता

आप को देखता ताइफ़ में दुआएँ देते
यूँ मेरे सब्र-ओ-तहम्मुल को सलीक़ा मिलता

आप के सामने रख देता मैं सब कुछ ला कर
नुसरत-ए-दीं के लिए जब भी इशारा मिलता

अपना घर-बार लुटा देता तो उसके बदले
हुब्ब-ए-सरकार-ए-मदीना का ख़ज़ाना मिलता

आप के पीछे खड़े हो के नमाज़ें पढ़ता
आप के क़दमों के पीछे मुझे सज्दा मिलता

भूल जाता मैं किसी ताक़ में रख कर आँखें
आप को देखते रहने का बहाना मिलता

आप की तरह बिठाता मैं उसे शानो पर
राह में आप का जब कोई नवासा मिलता

ज़िंदगी आप के क़दमों में बसर हो जाती
जाँ फ़िदा करने के खा़तिर मुझे ग़ज़वा मिलता

ह़श्र तक मेरी ग़ुलामी यूँही क़ाइम रहती
मेरी हर नस्ल को फ़ख़्री यही विरसा मिलता

शायर-ए-इस्लाम:
ह़ज़रत ज़ाहिद फ़ख़्री

ना’त-ख़्वां:
ह़ज़रत ह़स्सान फा़रूक़


Saari sadiyon pe jo bhaari hai wo lamha milta
Kaash Sarkaar-e-do-‘Aalam ka zamaana milta

Aap ko dekhta main Makka se hijrat karte
Aap ka naqsh-e-qadam, aap ka rasta milta

Aap ko dekhta Taaif mein duaaen dete
Yun mere sabr-o-tahammul ko saleeqa milta

Aap ke saamne rakh deta main sab kuch laa kar
Nusrat-e-deen ke liye jab bhi ishaara milta

Apna ghar-baar luta deta to uske badle
Hubb-e-Sarkaar-e-Madina ka khazaana milta

Aap ke peeche khade ho ke namaazen padhta
Aap ke qadmon ke peeche mujhe sajda milta

Bhool jaata main kisi taaq mein rakh kar aankhen
Aap ko dekhte rehne ka bahaana milta

Aap ki tarah bithaaTa main use shaano par
Raah mein aap ka jab koi nawaasa milta

Zindagi aap ke qadmon mein basar ho jaati
Jaan fida karne ke khaatir mujhe ghazwa milta

Hashr tak meri ghulaami yoonhi qaaim rehti
Meri har nasl ko Fakhri yahi wirsa milta

Shayar-e-islam:
Hazrat Zahid Fakhri

Na’at-Khwan:
Hazrat Hassan Farooq