सरापा नूर बन कर मुस्त़फा़ सल्ले-अ़ला आए / Saraapa Noor Ban Kar Mustafa Salle Ala Aaye

सरापा नूर बन कर मुस्त़फा़ सल्ले-अ़ला आए
मुबारक हो तेरे घर आमिना खै़रुल-वरा आए

उजाला ही उजाला हो गया हर सू ज़माने में
अरब की सर ज़मीं पर जब ह़बीबे-किबरिया आए

फलक के माहपारो में ज़मीं की आबशारों में
है जलवा चार सू जिन का वही जलवा नुमा आए

सितारा तेरी कि़स्मत का बुलंदी पर चमकता है
ह़लीमा घर तेरे जब से मुह़म्मद मुस्त़फा़ आए

जहां की बेटियां कहती हैं यह फ़रते-मसर्रत से
हमारी जिंदगी बन कर शहे-जूदो सखा़ आए

यतीमों ग़मज़दों को अब सुना दो जान-फ़ज़ा मुज़्दा
ग़मो-आलाम से तुम को बचाने ग़मज़दा आए

हिरन भी मुस्कुरा के ऐ तसद्दुक़ यूं लगी कहने
छुड़ाने कै़द से मुझको मेरे मुश्किल-कुशा आए

शायरे-इस्लाम:
ह़ज़रत तसद्दुक़ खा़न रज़वी

ना’त-ख़्वां:
ह़ज़रत दानिश रज़ा प्रतापगढ़ी


Saraapa noor ban kar Mustafa Salle Ala aaye
Mubarak ho tere ghar Aamina khairul-wara aaye

Ujaala hi ujaala ho gaya har soo zamane me
Arab ki sar zameen par jab Habibe-Kibriya aaye

Falak ke maahparon me zameen ki aabsharon me
Hai jalwa chaar soo jin ka wahi jalwa numa aaye

Sitara teri kismat ka bulandi par chamakta hai
Haleema ghar tere jab se Muhammad Mustafa aaye

Jahan ki betiyan kehti hain yeh farte-masarrat se
Hamari zindagi ban kar Shahe-joodo sakha aaye

Yateemon ghamzadon ko ab suna do jaan-fiza muzda
Ghamo-aalam se tum ko bachane ghamzada aaye

Hiran bhi muskura ke ai Tasadduq yun lagi kehne
Chhudane qaid se mujhko mere mushkil-kusha aaye

Shayare-islam:
Hazrat Tasadduq Khan Razvi

Na’at-Khwan:
Hazrat Danish Raza Pratapgarhi