सहा़बी हो ‘उमर जैसा, ख़लीफ़ा हो ‘उमर जैसा
जहाँ पे हुक़्मरानी का तरीक़ा हो ‘उमर जैसा
हमेशा ‘आलम-ए-इस्लाम का दुनिया पे हो ग़लबा
हु़कूमत का अगर लोगों सलीक़ा हो ‘उमर जैसा
ज़माना अब न देखेगा कोई भी हुक़्मराॅं ऐसा
जो ‘आदिल हो ‘उमर जैसा, जो सच्चा हो ‘उमर जैसा
मेरी दुनिया में भी हो काश कोई दर्दमंद पैदा
मेरी भी क़ौम का कोई मसीहा़ हो ‘उमर जैसा
फ़क़त बातों से हक़ ‘इश्क़-ए-नबी का हो ‘अदा कैसे
नबी से प्यार हो जाए तो जज़्बा हो ‘उमर जैसा
तरक़्क़ी की है ख़्वाहिश तो दु’आ मांगो ये फ़ारूक़ी
हमारे मुल्क का क़ाइद हमेशा हो ‘उमर जैसा
शायर-ए-इस्लाम:
ह़ज़रत सुहेल कलीम फ़ारूकी़
ना’त-ख़्वाॅं:
ह़ज़रत सुहेल कलीम फ़ारूकी़
Sahaabi ho ‘Umar jaisa, Khalifa ho ‘Umar jaisa
Jahaan pe hukmrani ka tareeqa ho ‘Umar jaisa
Hamesha ‘aalam-e-Islam ka duniya pe ho ghalba
Hukoomat ka agar logon saleeqa ho ‘Umar jaisa
Zamaana ab na dekhega koi bhi hukmraan aisa
Jo ‘aadil ho ‘Umar jaisa, jo saccha ho ‘Umar jaisa
Meri duniya mein ho kaash koi dardmand paida
Meri Bhi qaum ka koi Maseeha ho ‘Umar jaisa
Faqat baaton se haq ‘ishq-e-Nabi ka ho ‘ada kaise
Nabi se pyaar ho jaae to jazba ho ‘Umar jaisa
Taraqqi ki hai khwahish to du’a maango ye Farooqi
Hamaare mulk ka qaaid hamesha ho ‘Umar jaisa
Shayar-e-Islam:
Hazrat Suhel Kaleem Farooqi
Na’at-Khwan:
Hazrat Suhel Kaleem Farooqi