रुतबा बहुत ही अफ़ज़ल-ओ-आला रज़ा का है / Rutba Bahut Hi Afzal-O-Ala Raza Ka Hai

रुतबा बहुत ही अफ़ज़ल-ओ-आ’ला रज़ा का है
करता ज़माना हर घड़ी चर्चा रज़ा का है

उर्स-ए-रज़ा में देख लो तुम आके ‘आशिको़!
आठों पहर शबाब पे दरिया रज़ा का है

दे कर फ़तावा-ए-रज़विया एह़सान कर दिया
कितना ह़सीन देखिए तौह़फ़ा रज़ा का है

तख़सीस क्यों करूँ के फ़क़त एक सिम्त ही
जिस सिम्त देखिए वो ‘इलाक़ा रज़ा का है

बातिल तेरे वुजूद में आता है ज़लज़ला
जब भी लगाता कोई भी ना’रा रज़ा का है

वो सुरख़रू रहेगा हमेशा ही दहर में
अपनाया जिस किसी ने भी रस्ता रज़ा का है

जौहर ह़जी़ डरेगा ज़माने से क्यों भला
जब सर पे उसके आज भी साया रज़ा का है

शायर-ए-इस्लाम:
ह़ज़रत मोह़म्मद ‘अली जौहर

ना’त-ख़्वाॅं:
अज्ञात


Rutba bahut hi afzal-o-a’ala Raza ka hai
Karta zamaana har ghadi charcha Raza ka hai

Urs-e-Raza mein dekh lo tum aake ‘aashiqo!
Aathon pehar shabaab pe dariya Raza ka hai

De kar Fataawa-e-Razaviya ehsaaan kar diya
Kitna haseen dekhiye tauhfa Raza ka hai

Takhsees kyon karun ke faqat ek simt hi
Jis simt dekhiye wo ‘ilaaqa Raza ka hai

Baatil tere wujood mein aata hai zalzala
Jab bhi lagaata koi bhi na’ara Raza ka hai

Wo surkhuroo rahega hamesha hi dahr mein
Apnaaya jis kisi ne bhi rasta Raza ka hai

Jauhar Hazi darega zamaane se kyon bhala
Jab sar pe uske aaj bhi saaya Raza ka hai

shayar-e-Islam:
Hazrat Muhammad Ali Jauhar

Na’at-Khwan:
Unknown