WhatsApp Join Naat Group

रोज़ो-शब खेला किए ज़ंजीर की झंकार से | Rozo-Shab Khela Kiye Zanjeer Ki Jhankaar Se, By Saif Raza Kanpuri

कौन था मर्दे-मुजाहिद पूछिए अग़्यार से
खलबली सी मच गई थी जिसकी एक ललकार से

रोज़ो-शब खेला किए ज़ंजीर की झंकार से
कितना कुछ सीखा है तुमने आबिदे-बीमार से

जानों-दिल क्यूं ना लुटाएं हम मुजाहिद के लिएं
सुन्नियत रौशन हुई उनके हंसी किरदार से

ऐं मुजाहिद तुझसे कोई जीत सकता ही नहीं
इ़ल्म के सूरज निकलते हैं तेरी दस्तार से

काश गर होते मुजाहिद रू-बरू इस दौर में
किस में दम था खेलता दीने-शहे-अबरार से

मत रखो मर्दे-मुजाहिद के नवासे से जलन
वरना करदूंगा शिकायत अज़हरी सरकार से

अज़हरी सरकार के ग़द्दार से ये बोल दो
बच नहीं सकता है हर गिज़ वो: ह़बीबी मार से

ना’त-ख़्वां:
हज़रत सैफ़ रज़ा कानपुरी

Kaun tha mard-e-mujahid poochiye agyaar se
Khalbali si mach gayi thi jiski ek lalkaar se

Rozo-shab khela kiye zanjeer ki jhankaar se
Kitna kuch seekha hai tumne Aabide-beemar se

Jaano-dil kyun na lutaayein ham mujhaid ke liye
Sunniyat raushan huyi unke hansi kirdaar se

Ain mujhaid tujhse koi jeet sakta hi nahin
Ilm ke sooraj nikalte hain teri dastaar se

Kaash gar hote mujhaid ru-baru is daur mein
Kis mein dam tha khelta deene-shahe-abrar se

Mat rakho marde-mujahid ke nawase se jalan
Warna kardunga shikayat Azhari Sarkar se

Azhari Sarkar ke gaddar se ye bol do
Bach nahin sakta hai har giz woh Habibi maar se

Na’At-Khwan:
Hazrat Saif Raza Kanpuri