रहमतों की फुलझड़ी सेहरे में है / Rehmato Ki Phuljhari Sehre Mein Hai

रहमतों की फुलझड़ी सेहरे में है
फूल रंगीं आशिकी सेहरे में है

मुस्कुराती ज़िंदगी सेहरे में है
दिलकशी ही दिलकशी सेहरे में है

आज दोस्त अहबाब भाई और बहन
प्यार की खुशबू मिली सेहरे में है

मां की आग़ोशे-करम तो देखिए
चादरे-रह़मत तनी सेहरे में है

मिल रहे हैं आज आपस में सभी
ख़ुशनुमा रंगत बड़ी सेहरे में है

देख कर के खिल उठी दिल की कली
रौशनी फैली हुई सेहरे में है

जूही बेला सहला चमेली गुलाब
बोलिए अब क्या कमी सेहरे में है

कह रहा है ये हबीबी मुख़्तसर
ज़िंदगी की हर ख़ुशी सेहरे में है

शायरे-इस्लाम:
ह़ज़रत सरफ़राज़ ह़बीबी

ना’त-ख़्वां:
अज्ञात


Rehmato ki phuljhari sehre mein hai
Phool rangeen aashiqi sehray mein hai

Muskuraati zindagi sehray mein hai
Dilkashi hi dilkashi sehray mein hai

Aaj dost ahbaab bhai aur bahan
Pyaar ki khushbu mili sehray mein hai

Maa ki aaghoshe-karam to dekhiye
Chadare-rehmat tani sehray mein hai

Mil rahe hain aaj aapas mein sabhi
Khushnuma rangat badi sehray mein hai

Dekh kar ke khil uthi dil ki kali
Roshni faili hui sehray mein hai

Juhi bela sehraa chameli gulaab
Boliye ab kya kami sehray mein hai

Keh raha hai ye Habibi mukhtasar
Zindagi ki har khushi sehray mein hai

Shayare-Islam:
Hazrat Sarfaraz Habibi

Na’at-Khwan:
Unknown