रौज़ा-ए-मुस्त़फ़ा को क्या देखा
बाग़-ए-जन्नत का रास्ता देखा
बोले जाकर ये सब मदीनें में
नूर-ओ-रह़मत का सिल्सिला देखा
जिसने देखा है आप को आक़ा
उसको सौ जान से फ़िदा देखा
आमद-ए-मुस्त़फ़ा के सदक़े में
दोनों ‘आलम को पुर-ज़िया देखा
पूरे क़ुरआँ में जा-बजा हमने
ज़िक्र-ए-सरकार-ए-मुस्त़फ़ा देखा
बाग़-ए-जन्नत में हूँ कहा उसने
जिसने दरबार-ए-मुस्त़फ़ा देखा
बोले जिब्रील छान कर दुनिया
आप जैसा न दूसरा देखा
हो गई आँख मेरी नम ‘असजद
जब भी तैबा का क़ाफ़िला देखा
शायर-ए-इस्लाम
ह़ज़रत मोहम्मद ‘असजद रज़ा ह़स्सानी
ना’त-ख़्वाॅं:
अज्ञात
rauza-e-Mustafa ko kya dekha
baagh-e-jannat ka raasta dekha
bole jaakar ye sab Madine mein
noor-o-rehmat ka silsila dekha
jis ne dekha hai aap ko aaqa
usko sau jaan se fida dekha
aamad-e-Mustafa ke sadqe mein
dono ‘aalam ko pur-ziya dekha
poore Quraan mein ja-baja hamne
zikr-e-Sarkaar-e-Mustafa dekha
baagh-e-jannat mein hun kaha usne
jisne darbaar-e-Mustafa dekha
bole Jibreel chhaan kar duniya
aap jaisa na doosra dekha
ho gayi aankh meri nam ‘Asjad
jab bhi Taiba ka qaafila dekha
shayar-e-Islam:
Hazrat Muhammad ‘Asjad Raza Hassani
Na’at-Khwan:
Unknown