नूर का शाहकार हैं आँखें
क्या ही वो शानदार हैं आँखें
हक़ ‘अदा हो रहा है आँखों का
मुस्त़फ़ा पर निसार हैं आँखें
आप आ जाएँ आप ही के लिए
या नबी बेक़रार हैं आँखें
मेरी आँखों पे एक नज़र कर दें
मा’सियत की शिकार हैं आँखें
किस मोहब्बत से पूछता है ख़ुदा
किस लिए अश्कबार हैं आँखें
सबकी आँखों से अश्क पहुँच दिए
हाए वो अश्कबार हैं आँखें
पल में दुख दर्द सब मिटा देंगी
वो बड़ी ग़मग़ुसार हैं आँखें
उनकी आँखों से क्या हो पौशीदा
नूर-ए-परवरदिगार हैं आँखें
जागती हैं जो मुस्त़फ़ा के लिए
वो ‘इबादत-गुज़ार हैं आँखें23
किस को आँखें बिलाल की देखें
उनकी आंखों से चार हैं ऑंखें
जिन को माज़ाग़ रब ने फ़रमाया
वो भी क्या नूर-बार हैं आँखें
कर्बला घूमता है आँखों में
इसलिए सोगवार हैं आँखें
कम नहीं चाहिए मदीने से
वाक़’ई होशियार हैं आँखें
तेरी दो आँखें ही नहीं अज़हर
उन पे शैदा हज़ार हैं आँखें
शायर-ए-इस्लाम:
ह़ज़रत मोलाना अज़हर फ़ारूक़ी
ना’त-ख़्वाॅं:
ह़ज़रत ग़ुलाम ग़ौस ग़ज़ाली
- Also read. जान-ओ-दिल क़ुर्बान हैं तुझ पर मेरे प्यारे वतन / Jan-o-Dil Qurban Hain Tujh Par Mere Pyare Watan
Noor ka shaahkaar hain aankhen
Kya hi wo shaandaar hain aankhen
Haq ‘ada ho raha hai aankhon ka
Mustafa par nisaar hain aankhen
Aap aa jaaein aap hi ke liye
Ya Nabi beqaraar hain aankhen
Meri aankhon pe ek nazar kar dein
Ma’siyat ki shikaar hain aankhen
Kis mohabbat se poochhta hai Khuda
Kis liye ashkbaar hain aankhen
Sabki aankhon se ashk pohonch die
Haaye wo ashkbaar hain aankhen
Pal mein dukh dard sab mita dengi
Wo badi ghamgusaar hain aankhen
unki aankhon se kya ho posheeda
Noor-e-Parwardigaar hain aankhen
Pal Mein Dukh-Dard Sab Mita Ti Hai
wo Badi Ghamgusaar Hain Aankhen
Jaagti hain jo Mustafa ke liye
Wo ‘ibaadat-guzaar hain aankhen
Kis ko aankhen Bilaal ki dekhein
unki aankhon se chaar hain aankhen
Jin ko mazaagh rab ne farmaaya
Wo bhi kya noor-baar hain aankhen
Karbala ghoomta hai aankhon mein
Is liye sogwaar hain aankhen
Kam nahin chahiye Madine se
Waaqa’i hoshyaar hain aankhen
Teri do aankhen hi nahin Azhar
Un pe shaida hazaar hain aankhen
Shayar-e-Islam:
Hazrat Molana Azhar Farooqi
Na’at-Khwan:
Hazrat Ghulam Ghaus Ghazali