WhatsApp Join Naat Group

नवासा याद आता है तो आँखें भीग जाती हैं | Nawasa Yaad Aata Hai To Aankhen Bheeg Jaati Hain

वो: गलियाँ और वो मस्जिद जहाँ शब्बीर रहते थे
मदीना याद आता है तो आँखें भीग जाती हैं

नवासा याद आता है तो आँखें भीग जाती हैं

मज़ारे-सरवरे-आलम से वो: किस दिल से बिछड़े थे
बिछड़ना याद आता है तो आँखें भीग जाती हैं

हज़ारों ख़त जहाँ से आले-सरवर के लिए आए
वो: कूफ़ा याद आता है तो आँखें भीग जाती हैं

जिसे सुनते ही हुर्र शब्बीर के क़दमों में आए थे
वो: ख़ुत्बा याद आता है तो आँखें भीग जाती हैं

गले पर तीर जिस के हुरमला ज़ालिम ने मारा था
वो: बच्चा याद आता है तो आँखें भीग जाती हैं

उठाते ही जिसे शब्बीर के सब बाल पक जाएँ
वो: लाशा याद आता है तो आँखें भीग जाती हैं

उधर अब्बास के बाज़ू इधर नन्ही सकीना का
तड़पना याद आता है तो आँखें भीग जाती हैं

बहत्तर ज़ख़्म तीरो-ख़ंजरो-तलवार हर जानिब
वो: सज्दा याद आता है तो आँखें भीग जाती हैं

बहत्तर ज़ख़्म लाखों ग़म बहत्तर घंटो का रोज़ा
वो: रोज़ा याद आता है तो आँखें भीग जाती हैं

उठा कर जिस पे लाशे आप लाए अपने ख़ैमे तक
वो: काँधा याद आता है तो आँखें भीग जाती हैं

तमाचे मारना ख़ैमे जलाना करना बे-पर्दा
ये सारा याद आता है तो आँखें भीग जाती हैं

सिनां की नोक पर जावेद पढ़ना आयते-क़ुरआँ
वो: पढ़ना याद आता है तो आँखें भीग जाती हैं

ना’त-ख़्वां:
हज़रत मुहम्मद अली फ़ैज़ी

woh galiyan aur wo masjid jahaan Shabbir rehte the
Madina yaad aata hai to aankhen bheeg jaati hain

Nawasa Yaad Aata Hai To Aankhen Bheeg Jaati Hain

mazare-sarware-alam se wo: kis dil se bichhde the
bichhadna yaad aata hai to aankhen bheeg jaati hain

hazaroon khat jahaan se aale-sarwar ke liye aaye
woh Kufa yaad aata hai to aankhen bheeg jaati hain

jise sunte hi Hurr Shabbir ke qadmon mein aaye the
woh khutba yaad aata hai to aankhen bheeg jaati hain

gale par teer jis ke Hurmla zalim ne maara tha
woh bachcha yaad aata hai to aankhen bheeg jaati hain

uthaate hi jise Shabbir ke sab baal pak jaayein
woh laasha yaad aata hai to aankhen bheeg jaati hain

udhar Abbas ke baazu idhar nanhi Sakina ka
tadapna yaad aata hai to aankhen bheeg jaati hain

bahattar zakhm teeron-khanjaron-talwar har jaanib
woh sajda yaad aata hai to aankhen bheeg jaati hain

bahattar zakhm lakhon gham bahattar ghanton ka roza
woh roza yaad aata hai to aankhen bheeg jaati hain

utha kar jis pe laashe aap laaye apne khaime tak
woh kaandha yaad aata hai to aankhen bheeg jaati hain

tamache maarna khaime jalana karna be-parda
ye saara yaad aata hai to aankhen bheeg jaati hain

sinaa ki nok par Javed padhna aayate-Quran
woh padhna yaad aata hai to aankhen bheeg jaati hain

na’At-khwaan:
Hazrat Muhammad Ali Faizi