नबी के बाद में ख़ुद इंतक़ाल कर जाते
हलाल ख़ुद कुशी होती बिलाल गर जाते
ये टुकड़े चांद के उनके लिए कमाल नहीं
वो: जैसा चाहते वैसा कमाल कर जाते
नबी की शान में तौहीन हो गई और हम
सहाबा होते तो जंग ओ जिदाल कर जाते
अगर ये दौलते-दुनिया ही मा ह़सल होती
नबी अ़ली को बहुत माला माल कर जाते
हुसैन के लिए बैअ़त ही एक सवाल न था
हराम चीज़ को कैसे हलाल कर जाते
यहां क्यों आके बताते हो उनकी गुस्ताख़ी
वहीं पे उठते वहीं पर वबाल कर जाते
जवाब मिलता था और लाजवाब मिलता था
रज़ा के सामने कोई सवाल कर जाते
मेरे नबी के सहाबा ही थे वो: ऐ अज़हर
के जिस महाज़ पे उठते धमाल कर जाते
ना’त-ख़्वां:
ह़ज़रत ग़ुलाम गौस ग़ज़ाली
Nabi ke baad mein khud intqaal kar jaate
Halal khud-kushi hoti Bilal gar jaate
Ye tukde chaand ke unke liye kamaal nahi
Wo jaisa chahte waisa kamaal kar jaate
Nabi ki shaan me tauheen ho gayi aur hum
Sahaba hote to jango-jidaal kar jaate
Agar ye daulate-duniya hi ma Hasal hoti
Nabi Ali ko bahut maala maal kar jaate
Husain ke liye baiAt hi ek sawaal na tha
Haraam cheez ko kaise halal kar jaate
Yahan kyon aake batate ho unki gustakhi
Wahin pe uthte wahin par wabaal kar jaate
Jawaab milta tha aur laajawaab milta tha
Raza ke saamne koi sawaal kar jaate
Mere Nabi ke Sahaba hi the wo ai Azhar
Ke Jis mahaaz pe uthte dhamaal kar jaate
Na’at-Khwan:
Hazrat Ghulam Ghaus Ghazali