मुस्तफा आप की जब बात हुआ करती है / Mustafa Aap Ki Jab Bat Hua Karti Hai

मुस्त़फ़ा आप की जब बात हुआ करती है
रह़मत-ओ-नूर की बरसात हुआ करती है

ज़ुल्फ़-ए-वल्लैल का जब तज़्किरा छेड़ा मैं ने
चैन वाली वो मेरी रात हुआ करती है

माॅंगना जो भी है वो माॅंग ले तै़यबा जाकर
पूरी तै़यबा में मुनाजात हुआ करती है

आप की जात-ए-मुक़द्दस से जिसे है निस्बत
आ’ला से आ’ला उस की जात हुआ करती है

ह़ाफ़िज़ों बा-वुज़ू होकर के पढ़े फिर देखे
याद क़ुरआन की आयात हुआ करती है

पहरा जो देते हैं नामूस-ए-नबी पर उस के
रब्ब-ए-अकबर की मदद साथ हुआ करती है

जब करम होता है सरकार का फ़ज़्ल-ए-रब से
उस घड़ी ‘आफ़ी लिखो ना’त हुआ करती है

शायर-ए-इस्लाम:
ह़ज़रत ग़ुलाम समदानी ‘आफ़ी क़ादरी

ना’त-ख़्वाॅं:
ह़ज़रत ग़ुलाम समदानी ‘आफ़ी क़ादरी


Mustafa aap ki jab baat hua karti hai
Rehmat-o-noor ki barsaat hua karti hai

Zulf-e-Wallail ka jab tazkira chheda mai ne
Chain waali wo meri raat hua karti hai

Maangna jo bhi hai wo maang le Taiba jaakar
Puri Taiba mein munajaat hua karti hai

Aap ki zaat-e-muqaddas se jise hai nisbat
Aa’la se aa’la us ki zaat hua karti hai

Hafizon ba-wuzu hokar ke padhe phir dekhe
Yaad Quraan ki aayat hua karti hai

Pehra jo dete hain namoos-e-Nabi par us ke
Rabb-e-Akbar ki madad saath hua karti hai

Jab karam hota hai Sarkaar ka fazl-e-Rabb se
Us ghadi ‘Aafi likho na’at hua karti hai

shayar-e-islam:
Hazrat Ghulam Samdani ‘Aafi Qadri

na’at-khwan:
Hazrat Ghulam Samdani ‘Aafi Qadri