मुक़द्दर को जगाना चाहता हूॅं
मदीना मैं भी जाना चाहता हूॅं
कहा सिद्दीक़ नें जो कुछ है अपना
शह-ए-दीं पर लुटाना चाहता हूॅं
बसा कर पहले का’बा को नज़र में
मदीना दिल बनाना चाहता हूॅं
मेरी बेटी कनीज़-ए-फा़ति़मा हो
उसे ऐसा बनाना चाहता हूॅं
मेरे आका़ तेरे रौजें की जाली
मैं सीने से लगाना चाहता हूॅं
गु़लाम उनका किसी से कम नहीं है
ज़माने को बताना चाहता हूॅं
शायर-ए-इस्लाम:
अज्ञात
ना’त-ख़्वाॅं:
ह़ज़रत हसीब-उर-रहमान
muqaddar ko jagaana chaahta hoon
madina main bhi jaana chaahata hoon
kaha siddeeq ne jo kuchh hai apna
shah-e-deen par lutaana chaahta hoon
basa kar pehle kaa’ba ko nazar mein
madina dil banaana chaahta hoon
meri beti kaneez-e-faatima ho
use aisa banaana chaahta hoon
mere aaqa tere rauze ki jaali
main seene se lagaana chaahta hoon
gulaam unaka kisi se kam nahin hai
zamaana ko bataana chaahta hoon
Shayar-e-islam:
Unknown
Na’at-Khwan:
Hazrat haseeb-ur-rahamaan