मुनहमिक उनकी जो सना में है / Munhamik Unki Jo Sana Mein Hai

मुनहमिक उनकी जो सना में है
रह़मते-ह़क़ की वो: रिदा में है

और शहरों में वो: नहीं पाया
लुत्फ़ जो शहरे-मुस्त़फ़ा में है

आज ढूंढे से वो: नहीं मिलती
जो हया बिन्ते-मुस्त़फ़ा में है

हर मर्ज़ की शिफ़ा है किस में रखी
उनके दरबार की हवा में है

डाल दीजिए करम की एक नज़र
आदमी पंजा-ए-बला में है

विर्द नादे-अ़ली का करने से
मेरी हर इक बला बला में है

उनकी जो पैरवी नहीं करता
आ़फ़ी वो: तो सदा बला में है

शायरे-इस्लाम:
ह़ज़रत ग़ुलाम समदानी आ़फ़ी क़ादरी


Munhamik unki jo sana mein hai
Rahmate-haq ki woh rida mein hai

Aur shahron mein woh nahi paaya
Lutf jo shahre-Mustafa mein hai

Aaj dhoonde se woh nahi milti
Jo haya binte-Mustafa mein hai

Har marz ki shifa hai kis mein rakhi
Unke darbar ki hawa mein hai

Daal dijiye karam ki ek nazar
Aadmi panja-e-bala mein hai

Wird Naade-Ali ka karne se
Meri har ek bala bala mein hai

Unki jo pairawi nahin karta
Aafi woh to sada bala mein hai

Shayare-Islam:
Hazrat Ghulam Samdani Aafi Qadri