WhatsApp logo Join Naat Group

मुह़ब्बतों के बाब हैं क़मर हैं आफ़ताब हैं / Muhabbaton Ke Baab Hain Qamar Hain Aaftaab Hain

मुह़ब्बतों के बाब हैं क़मर हैं आफ़ताब हैं
खु़दा के इंतेख़ाब हैं हु़जू़र लाजवाब हैं

कोई ओवैस हो गए कोई बिलाल हो गए
जिन्हें मिला नबी का इ़श्क़ मालामाल हो गए
कोई ग़नी कोई उ़मर कोई वफा़ के ताजवर
कोई अबू-तुराब हैं हु़जू़र लाजवाब हैं

चमन को दिलकशी मिली गुलों को ताज़गी मिली
हु़जू़र आ गए तो बेटियों को जि़ंदगी मिली
करम की खा़नका़ह में नबी की बारगाह में
अ़ताएं बे-हि़साब हैं हु़जू़र लाजवाब हैं

महक रहे हैं आज भी नगर नगर गली गली
ह़सन हु़सैन ऐसे गुल हैं जिसकी फा़ति़मा कली
अ़ली गुलों की जान हैं नबी की ऐसी शान हैं
वो: हा़सिले-गुलाब हैं हु़जू़र लाजवाब हैं

जनाबे-जिब्राइल बोले दो जहां को छान कर
मिला नहीं हु़जू़र सा कहीं मुझे कोई बशर
जमील हैं ह़सीन हैं बहुत ही महजबीन हैं
वो: हु़स्न की किताब हैं हु़जू़र लाजवाब हैं

मेरे लबों पे हर घड़ी रहे सना-ए-मुस्त़फा़
चले तो मेरी सांस भी चले बराए-मुस्त़फा़
वका़रे-कायनात से मेरे नबी की ज़ात से
नदीम फै़जि़याप हैं हु़जू़र लाजवाब हैं

ना’त-ख़्वां:
ह़ज़रत नदीम रज़ा फै़जी़ मधुपुरी


Muhabbaton ke baab hain Qamar hain aaftaab hain
Khuda ke intekhaab hain Huzoor laajawaab hain

Koi Owais ho gaye koi Bilal ho gaye
Jinhein mila Nabi ka ishq maala-maal ho gaye
Koi Ghani koi Umar koi wafaa ke taajwar
Koi Abu-Turab hain Huzoor laajawaab hain

Chaman ko dilkashi mili gulon ko taazgi mili
Huzoor aa gaye to betiyon ko zindagi mili
Karam ki khanqah mein, Nabi ki baargah mein
Ataayen be-hisaab hain Huzoor laajawaab hain

Mehek rahe hain aaj bhi nagar nagar, gali gali
Hasan Hussain aise gul hain jiski Fatima kali
Ali gulon ki jaan hain Nabi ki aisi shaan hain
Woh haasile-gulaab hain Huzoor laajawaab hain

Janabe-Jibraeel bole do jahan ko chhaan kar
Mila nahi Huzoor sa kahin mujhe koi bashar
Jameel hain haseen hain bahut hi mahjabeen hain
Woh husn ki kitaab hain Huzoor laajawaab hain

Mere labon pe har ghadi rahe sana-e-Mustafa
Chale to meri saans bhi chale baraaye-Mustafa
Waqaare-kaainaat se mere Nabi ki zaat se
Nadeem Faiziyaab hain Huzoor laajawaab hain

Na’at-khwaan:
Hazrat Nadeem Raza Faizi Madhupuri