मुबारक हो जहां वालो हबीबे-किब्रिया आए
जनाबे-आमिना के घर शहे-हर-दौ-सरा आए
पिलाने जामे-वहदत मुस्त़फा़ सल्ले-अला आए
मिटाने शिर्क की तारीकियां नूरे-खु़दा आए
हिदायत मिलती है जिस के वसीले से वही प्यारी
किताबे-इ़ल्मो-हिकमत ले के महबूबे-खु़दा आए
जो हैं जन्नत के वाली जामे-कौसर के जो साक़ी हैं
वही जाने-मसीहा नाइबे-रब्बुल-उ़ला आए
वो: शाफ़ी और नाफ़ी हैं वो: काफ़ी और वाफ़ी हैं
मेरे सरकार बन कर दाफ़ि-ए-जुम्ला-बला आए
मिलेगी बे-कसो-मज़लूम को रमज़ान अब इ़ज़्ज़त
खुदा की रह़मतें ले कर इमामुल-अंबिया आए
शायरे-इस्लाम:
ह़ज़रत रमज़ान अ़ली रज़वी तनवीरी
ना’त-ख़्वां:
ह़ज़रत रिज़वान रज़ा अलाहाबादी
- also reed. झंडे लगाओ ईद मनाओ बारह रबीउ़ल अव्वल है | Jhande lagaao Eid manaao Baarah Rabiul Awwal hai
Mubarak ho jahaan waalo Habibe-Kibriya aaye
Janabe-Aamina ke ghar Shahe-Har-Dausara aaye
Pilaane jaame-wahdat Mustafa Salle-Ala aaye
Mitaane shirk ki tareekiyan Noore-Khuda aaye
Hidayat milti hai jis ke waseele se wahi pyari
Kitaabe-ilmo-hikmat le ke Mahboobe-Khuda aaye
Jo hain jannat ke waali jaame-Kausar ke jo saaqi hain
Wahi jaane-Maseeha naaibe-Rabbul-Ula aaye
Woh Shaafi aur Naafi hain woh Kaafi aur Waafi hain
Mere Sarkar ban kar daafi-e-jumla-bala aaye
Milegi bekaso-mazloom ko Ramzan ab izzat
Khuda ki rehmaten le kar Imamul-Ambiya aaye
Shayare-Islam:
Hazrat Ramzan Ali Rizvi Tanveeri
Na’at-Khwan:
Hazrat Rizwan Raza Allahabadi