WhatsApp Join Naat Group

मेरा दिल जिगर जिस पे कु़र्बान है | मेरी मां मेरी जान है / Meri Maa Meri Jaan Hai | Mera Dil Jigar Jis Pe Qurban Hai

मेरा दिल जिगर जिस पे कु़र्बान है
मेरी मां मेरी जान है

मेरी आखि़रत का तू समान है
मेरी मां मेरी जान है

नबी ने सहा़बा को अपने दिखा कर
ह़लीमा के क़दमों में चादर बिछा कर
बताया है मां की बड़ी शान है
मेरी मां मेरी जान है

सताता है मुझ को ज़माने का जब ग़म
तो देकर तसल्ली वो: कहती है हर दम
मेरे लाडले क्यों परेशान है
मेरी मां मेरी जान है

परेशानियों में गले से लगाए
वो: भूखी रहे फि़र भी मुझको खिलाए
यह कितना बड़ा उसका एहसान है
मेरी मां मेरी जान है

बलाएं मेरी लौट जाती हैं सर से
मैं मां की दुआ़ ले के चलता हूं घर से
मुसीबत मेरी खु़द ही हैरान है
मेरी मां मेरी जान है

कभी अपनी मां के ना दिल को दुखाना
अगर रूठ जाए तो उस को मनाना
रसूले-खुदा ﷺ का यह फ़रमान है
मेरी मां मेरी जान है

जो मां बाप की अपने करता है खि़दमत
उसे दोनों आ़लम में मिलती है इ़ज़्ज़त
यही मेरे वारिस का ऐलान है
मेरी मां मेरी जान है

दुआ़ नूर-अ़ली मां की काम आ रही है
मुझे इस ज़माने में चमका रही है
अलग जो मेरी आज पहचान है
मेरी मां मेरी जान है

ना’त-ख़्वां:
ह़ज़रत नूर अ़ली नूर कानपुरी


Mera Dil Jigar Jis Pe Qurban Hai
Meri Maa Meri Jaan Hai

Meri Aakhirat Ka Tu Samaan Hai
Meri Maa Meri Jaan Hai

Nabi Ne Sahaba Ko Apne Dikha Kar
Halima Ke Qadmon Mein Chaadar BichaKar
Bataya Hai Maa Ki Badi Shaan Hai
Meri Maa Meri Jaan Hai

Sataata Hai Mujh Ko Zamane Ka Jab Gham
To Dekar Tasalli Woh Kehti Hai Har Dam
Mere Laadle Kyon Pareshan Hai
Meri Maa Meri Jaan Hai

Pareshaniyon Mein Gale Se Lagaye
Woh Bhooki Rahe Phir Bhi Mujhko Khilaye
Yeh Kitna Bada Uska Ehsaan Hai
Meri Maa Meri Jaan Hai

Balaayein Meri Laut Jaati Hain Sar Se
Main Maa Ki Dua Le Ke Chalta Hoon Ghar Se
Maseebat Meri Khud Hi Hairaan Hai
Meri Maa Meri Jaan Hai

Kabhi Apni Maa Ke Na Dil Ko Dukhana
Agar Rooth Jaye To Usko Manana
Rasool-e-Khuda ﷺ Ka Yeh Farmaaan Hai
Meri Maa Meri Jaan Hai

Jo Maa Baap Ki Apne Karta Hai Khidmat
Use Dono Aalam Mein Milti Hai Izzat
Yahi Mere Waris Ka Ailaan Hai
Meri Maa Meri Jaan Hai

Dua Noor-Ali Maa Ki Kaam Aa Rahi Hai
Mujhe Is Zamane Mein Chamka Rahi Hai
Alag Jo Meri Aaj Pehchaan Hai
Meri Maa Meri Jaan Hai

Na’at-Khwan:
Hazrat Noor Ali Noor Kanpuri