WhatsApp Join Naat Group

मेरे मा’बूद को प्यारे मेरे सरकार के गेसू / Mere ma’abood ko pyaare mere Sarkar ke gesu,

मेरे मा’बूद को प्यारे मेरे सरकार के गेसू,
उ़रूजे-हु़स्न से आगे मेरे सरकार के गेसू,

ना घुंगराले, ना बिल्कुल सीधे, वो: गेसू ख़मीदा हैं
घने, और रंग में काले मेरे सरकार के गेसू

घूमाती उम्मे-सल्मा पानी में मू-ए-मुबारक को
मरीजो़ं को शि़फा़ देते मेरे सरकार के गेसू

मिना में बाल कटवा कर, दिया जब हुक्म आक़ा ने
अबू-त़लहा ने फिर बांटे मेरे सरकार के गेसू

फ़क़त इस वास्ते से खा़लिद ने हर एक जंग को जीता
उन्होंने टोपी में रखे मेरे सरकार के गेसू

अनस ने ये वसीयत की ज़बाॅं के नीचे रख देना
मुझे दफ्नाने से पहले मेरे सरकार के गेसू

निकल आती बिना गंगी किए एक मांग जुल्फों में
कुछ ऐसे बीच से हटते मेरे सरकार के गेसू

मलाइक, ह़ूरें, और गि़ल्मान तकते होंगे हसरत से
संवारे जब ह़लीमा ने मेरे सरकार के गेसू

मेरे आक़ा ने सजदो में ज़मीं को भी नवाजा़ था
ज़मीं ने बार-हा चूमे मेरे सरकार के गेसू

कहीं जो सत्तरा बालों पर सफेदी रीश, और सर में
सहा़बा शौक़ से गिनते मेरे सरकार के गेसू

उ़मर से आ़लमे-बरज़ख़ में मिलने पर ये पूछूंगा
कफ़न में किस लिए रखे मेरे सरकार के गेसू

ना’त-ख़्वां:
ह़ज़रत ज़ाकिर रज़ा इस्माइली

Mere ma’abood ko pyaare mere Sarkar ke gesu,
Urooje-husn se aage mere Sarkar ke gesu,

Na ghungraale, na bilkul seedhe, woh gesu khameeda hain
Ghane, aur rang mein kaale mere Sarkar ke gesu

Ghumati Umme-Salma paani mein moo-e-mubarak ko
Mareezon ko shifa dete mere Sarkar ke gesu

Mina mein baal katwa kar, diya jab hukm aaqa ne
Abu-Talha ne phir baante mere Sarkar ke gesu

FaQat is waaste se Khalid ne har ek jang ko jeeta
Unhone topi mein rakhe mere Sarkar ke gesu

Anas ne ye waseeyat ki zabaan ke neeche rakh dena
Mujhe dafNaane se pehle mere Sarkar ke gesu

Nikal aati bina Kungi kiye ek maang Zulfon mein
Kuchh aise beech se hatTe mere Sarkar ke gesu

Malaaik, hooron, aur gilman takte honGe hasrat se
SanWaare jab Haleema ne mere Sarkar ke gesu

Mere aaqa ne sajdon mein zameen ko bhi nawaaza tha
Zameen ne baar-ha choome mere Sarkar ke gesu

Kahin jo satTara baalon par safedi reesh, aur sar mein
Sahaba shauq se ginte mere Sarkar ke gesu

Umar se aalam-e-barzakh mein milne par ye puchUnga
Kafan mein kis liye rakhe mere Sarkar ke gesu

Na’at-Khwan:
Hazrat Zakir Raza Ismaili