WhatsApp Join Naat Group

मेरे आका़ की आमद है | Mere aaqa ki aamad hai | ahmadul fattah naat

इश्के़-रसूले पाक का दीपक जलाएंगे
तारीकियों को सारे जहाॅं से मिटाएंगे
छत पर नबी के नाम का झंडा लगाएंगे
रह़मत की बारिशों में भी जमकर नहाएंगे

मेरे आका़ की आमद है, मेरे आका़ की आमद है
मेरे रहबर की आमद है, शहे-बतहा की आमद है

ज़ुल्मों-सितम का नाम मिटेगा जहान से
सब ज़िंदगी गुज़ारेंगे दुनिया में शान से
चेहरा हर एक बशर का खिलेगा गु़लाब सा
जो लोग रो रहे थे वो: अब मुस्कुराएंगे

शम्सो-क़मर, सितारों का मेला लगा है आज
हुसने-रुखे़-रसूल का सदका़ बटा है आज
हू़रें खु़शी के फूल लुटाएंगी हर तरफ़
बेहरे-सलामी खु़ल्द से क़ुदसी सी भी आएंगे

जिनका ज़माने भर में कोई मर्तबा ना था
उनका फ़लक के तारों से होगा मुका़बला
नूरे-खु़दा के नूरी क़दम चूम चूम कर
ज़र्रे हरम शरीफ़ के अब जग-मगाएंगे

आ़शिक़ ने सारी उम्र की मिदहत रसूल की
यादे शहे-उम्म में कटी सारी जिंदगी
सू-ए-लह़द चला तो ये कहता हुआ चला
हम क़ब्र में भी नात नबी की सुनाऐंगे

अह़मद ना रख बरोजे़-क़यामत का कोई ग़म
तेरी ख़ता है छोटी, बड़ा रब का है करम
परवाना बागे़-खु़ल्द का होगा तुझे नसीब
वो: आ गए जो ह़श्र में बख़्शिश कराऐंगे

ना’त-ख़्वां:
ह़ज़रत अहमदुल फ़त्ताह फैजा़बादी

Ishqe-Rasoole-pak ka deepak jalaayenGe
TaarikiYon ko saare jahan se mitaayenGe
Chhat par Nabi ke naam ka jhanda lagaayenGe
Rahmat ki baarishon mein bhi jamkar nahaayenGe

Mere aaqa ki aamad hai, mere aaqa ki aamad hai
Mere rehbar ki aamad hai, shahe-batha ki aamad hai

Zulmo-sitam ka naam mitega jahaan se
Sab zindagi guzaarenGe duniya mein shaan se
Chehra har ek bashar ka khilega gulaab sa
Jo log ro rahe the woh ab muskuraayenGe

Shamso-qamar, sitaron ka mela laga hai aaj
Husne-rukhe-Rasool ka sadqa bata hai aaj
Hooren khushi ke phool lutaayenGi har taraf
Behere-salaami khuld se qudsi si bhi aayenGe

Jinka zamane bhar mein koi martaba na tha
Unka falak ke taaron se hoga muqabla
Noore-Khuda ke noori qadam choom choom kar
Zarre Haram Shareef ke ab jag-magaayenGe

Aashiq ne saari umr ki midhat Rasool ki
Yaade-shahe-umm mein kati saari zindagi
Su-e-lahad chala to ye kehta hua chala
Ham qabr mein bhi na’at Nabi ki sunaayenGe

Ahmad na rakh baroze-qayaamat ka koi gham
Teri khata hai choti, bada Rab ka hai karam
Parwana baaghe-khuld ka hoga tujhe naseeb
Woh aa gaye jo hashr mein bakhshish karaaayenGe

Na’at-Khwan:
Hazrat Ahmadul Fattah Faizaabadi