WhatsApp Join Naat Group

महबूबे-खु़दा की आमद का हम जश्न मनाने वाले हैं | Mehboobe-Khuda ki aamad ka ham jashn manane waale hain

महबूबे-खु़दा की आमद का हम जश्न मनाने वाले हैं,
ये दुनिया बनी है जिनके लिए तशरीफ वो: लाने वाले हैं

दुख दर्द के मारो की आक़ा तक़दीर जगाने वाले हैं
गिरतों को उठाने वाले हैं रोतों को हंसाने वाले हैं

कुठिया को सलामी झुक झुक कर हर ऊंची इमारत देगी अभी
तक़दीर हलीमा की सोई सरकार जगाने वाले हैं

शेरों ने कहा तय्यार रहो दीदार यकी़नी है उनका
बकरी को हलीमा दाई की आकर वो छुड़ाने वाले हैं

तुम अपनी तरह कहते हो उन्हें औका़त तुम्हारी कुछ भी नहीं
मुख़्तारे-दो-आलम डूबे हुए सूरज को बुलाने वाले हैं

घबराते नहीं तलवारों से रखते हैं कलेजा शेरों का
वो: करबो-बला के मैदाॅं में हैदर के घराने वाले हैं

तू, हाथ ना पाएगा उनका बस हाथ मलेगा ऐ जा़लिम
शब्बीर इरादों को तेरे मिट्टी में मिलाने वाले हैं

क्या समझे ये दुनियाॅं क्या जाने सुल्ताने-विलायत का रुत्बा
ठोकर से मेरे गौसे-आ़ज़म मुर्दों को जिलाने वाले हैं

एक छोटे से कूजे़ में सागर सारे का सारा कैसे गया
ख़्वाजा की करामत से अब तक हैरान ज़माने वाले हैं

क्या चीज़ फना कहलाती है क्या राज़े-बका़ है ऐ लोगों
खु़द अपने जनाजे़ में आकर साबिर ये बताने वाले हैं

वो: शेरे-रजा़ कहलाते हैं वो: मर्दे-मुजाहिद नज्दी की
भारत से सऊ़दी में जाकर औका़त बताने वाले हैं

ना’त-ख़्वां:
ह़ज़रत ज़म ज़म फ़तेहपुरी


Mehboobe-Khuda ki aamad ka ham jashn manane waale hain,
Ye duniya bani hai jinke liye tashreef woh laane waale hain

Dukh dard ke maaro ki Aaqa taqdeer jagaane waale hain
Girte ko uthaane waale hain rote ko hansane waale hain

KuthiYa ko salaami jhuk jhuk kar har unchi imarat degi abhi
Taqdeer Halima ki soyi Sarkar jagaane waale hain

Sheron ne kaha tayyar raho deedaar yaqini hai unka
Bakri ko Halima daayi ki aakar woh chhudane waale hain

Tum apni tarah kehte ho unhe auQaat tumhari kuch bhi nahi
Mukhtaare-do-A’alam doobe huye sooraj ko bulane waale hain

Ghabrate nahin talwaron se rakhte hain kaleja sheron ka
Woh Karbo-Bala ke maidan mein Haider ke gharane waale hain

Tu, haath na payega unka bas haath malega ai zalim
Shabbir iradon ko tere mitti mein milaane waale hain

Kya samjhe ye duniya kya jaane Sultane-Wilayat ka rutba
Thokar se mere Gause-Azam murdon ko jilane waale hain

Ek chhote se kuze mein sagar saare ka saara kaise gaya
Khwaja ki karamat se ab tak hairan zamane waale hain

Kya cheez fana kehlati hai kya raaze-baqa hai ai logon
Khud apne janaze mein aakar Sabir ye batane waale hain

Woh Shere-Raza kehlate hain woh Marde-Mujahid Najdi ki
Bharat se Saudi mein jaakar aukaat batane wale hain

Na’at-khwan:
Hazrat Zam Zam Fatehpuri