WhatsApp logo Join Naat Group

मज़हरे-सद्रे-शरीअ़त है ह़क़ीक़त तेरी | वाह क्या शान है ऐ हा़फ़िज़े-मिल्लत तेरी तज़मीन के साथ / Mazhare-Sadre-ShariAt Hai Haqeeqat Teri | Wah Kya Shaan Hai Aye Hafize-Millat Teri With Tazmin

मज़हरे-सद्रे-शरीअ़त है ह़क़ीक़त तेरी
क्या बयां हम से भला हो सके अ़ज़मत तेरी
अपने क्या ग़ैर के लब पर भी है मिद्ह़़त तेरी
वाह क्या शान है ऐ हा़फ़िज़े-मिल्लत तेरी
आसमां देख के हैरान है रिफ़अ़त तेरी

उसके साए तले कितने किए गौहर पैदा
अर्शदुल-क़ादरी कोई कोई अल्लामा ज़िया
भूल सकता ये नहीं अहले-ज़माना वल्लाह
बाग़े-फ़िरदौस की सूरत में ये दीनी क़िला’
सय्यदी हाफ़िज़े-मिल्लत है करामत तेरी

यूंही महका करे गुलशन की तरह अशरफ़िया
ये दुआ करता हूं रब से ब-तुफ़ैले-आका़
हासिदीं कर न सके इसको कभी भी नीचा
तूने इस बाग़ को है ख़ूने-जिगर से सींचा
ता-क़यामत रहे आबाद ये जन्नत तेरी

बरमला कहना पड़ा जिस ने है तुझको देखा
हर अदा नूरी थी नूरी था लिबादा चेहरा
दीं की तब्लीग़ो-इशाअत में हर एक पल गुज़रा
नाज़िशे-इ़ल्मो-अ़मल पैकरे-ज़ह्दो-तक़्वा
थी ढली सुन्नते-सरकार में सीरत तेरी

अर्ज़ करता है शहा तुझसे ये आफ़ी अह़क़र
मेरे अश्आ़र ये मक़बूल तू कर ले सरवर
ता के बख़्शिश का वसीला बने रोज़े-मह़शर
कासा-ए-दिल लिए हाज़िर है ये क़ासिम दर पर
इस पे हो जाए शहा नज़रे-इनायत तेरी

शायरे-इस्लाम:
ह़ज़रत मौलाना क़ासिम रज़ा मिस्बाही

तज़मीन-निगार:
ह़ज़रत ग़ुलाम समदानी आफ़ी क़ादरी


Mazhare-Sadre-ShariAt hai haqeeqat teri
Kya bayan hum se bhala ho sake azmat teri
Apne kya ghair ke lab par bhi hai mid’hat teri
Wah kya shaan hai aye Hafize-Millat teri
Aasman dekh ke hairan hai rif’At teri

Uske saaye tale kitne kiye gauhar paida
Arshadul Qadri koi koi Allama Ziya
Bhool sakta ye nahi ahle zamana wallah
Baghe-Firdaus ki surat mein ye deeni qila
Sayyidi Hafize-Millat hai karamat teri

Yunhi mehkta rahe gulshan ki tarah Ashrafiya
Ye dua karta hoon Rab se ba-tufaile-Aaqa
Hasideen kar na sake isko kabhi bhi neecha
Tune is bagh ko hai khoone-jigar se seencha
Ta qayamat rahe aabaad ye jannat teri

Barmala kehna pada jis ne hai tujhko dekha
Har ada noori thi noori tha libada chehra
Deen ki Tableego-Isha’at mein har ek pal guzra
Nazishe-ilmo-amal paikare-zuhdo-taqwa
Thi dhali sunnate-Sarkar mein seerat teri

Arz karta hai Shahah tujhse ye Aafi Ahqar
Mere Ashaar ye maqbool tu kar le Sarwar
Ta ke bakhshish ka waseela bane roze Mahshar
Kasa-e-dil liye hazir hai ye Qasim dar par
Is pe ho jaaye Shaha nazre-inayat teri

Shayare-Islam:
Hazrat Maulana Qasim Raza Misbahi

Tazmeen-Nigar:
Hazrat Ghulam Samdani Aafi Qadri