मत़लूब है न होगा ये दुनिया का ज़र मुझे
मेरे ख़ुदा दिखा दे तू तै़बा नगर मुझे
हो जाती ख़्वाब में जो कभी दीदे-मुस्तफ़ा
देते सलामी दोस्तों लअलो-ग़ोहर मुझे
रिफ़अ़त की मंज़िलों पे चढ़ाया है ना’त ने
अब कौन है कि कर सके ज़ेरो-ज़बर मुझे
अरमां मचल रहा है ये सीने में बार-बार
ले चल जबीने-शौक़ दरे-यार पर मुझे
बख़्शिश का लेने के लिए परवाना ह़श्र में
काफ़ी है नजदी उल्फ़ते-ख़ैरुल-बशर मुझे
रब की रज़ा के वास्ते लिखता हूं ना’ते-पाक
आ़फ़ी मिलेगा देखना जन्नत में घर मुझे
शायरे-इस्लाम:
ह़ज़रत ग़ुलाम समदानी आ़फ़ी क़ादरी
Matloob hai na hoga ye duniya ka zar mujhe
Mere Khuda dikha de tu Taiba nagar mujhe
Ho jaati khwab mein jo kabhi deede-Mustafa
Dete salaami doston la’alo-gohar mujhe
Rifat ki manzilon pe chadhaya hai na’at ne
Ab kaun hai ke kar sake zero-zabar mujhe
Armaan machal raha hai ye seene mein baar-baar
Le chal jabeene-shauq dare-yaar par mujhe
Bakhshish ka lene ke liye parwana hashr mein
Kaafi hai najdi ulfate-Khairul-Bashar mujhe
Rab ki raza ke waaste likhta hoon na’ate-Paak
Aafi milega dekhna jannat mein ghar mujhe
Shayare-Islam:
Hazrat Ghulam Samdani Aafi Qadri