WhatsApp logo Join Naat Group

मैं जा रहा हूँ छोड़ के संसार क़ब्र में / Main Ja Raha Hoon Chhod Ke Sansaar Qabr Mein

मैं जा रहा हूँ छोड़ के संसार क़ब्र में
तशरीफ़ आज़ लाएँगे सरकार क़ब्र में

जो पूछना है मुझसे फ़रिश्तों वो पूछ लो
अब आ गए हैं अहमदे-मुख़्तार क़ब्र में

जी भर के देखने दो मुझे ऐ मेरे हुज़ूर
दीदार करने आया है गुनहगार क़ब्र में

हर सिम्त ख़ुशबूदार हवाओं की है बहार
दिखने लगे हैं ख़ुल्द के आसार क़ब्र में

सरकार मुस्कुरा दें, नक़ीरैन झूम उठें
जिस दम पढ़ूँ मैं ना’त के अश्’आर क़ब्र में

शायरे-इस्लाम:
अज्ञात

ना’त-ख़्वां:
ह़ज़रत अह़मदुल फ़त्ताह फै़जा़बादी


Main ja raha hoon chhod ke sansaar qabr mein
Tashreef aaj laayenge Sarkaar qabr mein

Jo poochhna hai mujhse farishton woh poochh lo
Ab aa gaye hain Ahmad-e-Mukhtaar qabr mein

Ji bhar ke dekhne do mujhe ai mere Huzoor
Deedaar karne aaya hai gunahgaar qabr mein

Har simt khushbudaar hawaaOn ki hai bahaar
Dikhne lage hain Khuld ke aasaar qabr mein

Sarkar muskura dein, Naqeerein jhoom uthein
Jis dam padhun main na’at ke ash’aar qabr mein

Shayare-Islam:
Unknown

Na’at-Khwan:
Hazrat Ahmdul Fattah Faizabadi