कितना याद आते हैं नबी ये कभी शुमार मत करो
धड़कनों हिसाब जोड़कर मुस्त़फा़ से प्यार मत करो
उनके रब ने उनसे यूॅं कहा पूरा होगा आपका कहा
ऐ ह़बीब आप रात दिन खु़द को अश्क-बार मत करो
केह उठा निकल के कुफ़्र से काफ़िरों से ‘आशिक़-ए-नबी
हो चुका हूॅं मैं रसूल का मेरा इंतजार मत करो
ऐं वासिला-ए-रसूल के मुन्किरो खड़े रहो यहीं
जिब्राइल के परों पे तुम पुल-सिरात़ पर मत करो
जा़हिरी जो इनका हाल है ये वहाबियों की चाल है
कह गए बरैली के रज़ा इनका ऐ’तबार मत करो
रह़मतें जो चाहिए तुम्हें बरकतें जो चाहिए तुम्हें
झूॅंठ जिसमें बोलना पड़े ऐसा कारोबार मत करो
ऐसा कुछ करो के खु़ल्द ही चल के आए आपकी त़रफ़
अज़हर आप खु़ल्द के लिए खुद को बेक़रार मत करो
शायर-ए-इस्लाम:
ह़ज़रत मौलाना अज़हर फा़रूकी़
ना’त-ख़्वाॅं:
ह़ज़रत गु़लाम गौस ग़ज़ाली
Kitna yaad aate Hain Nabi
Ye kabhi shumaar mat karo
Dhadkanon hisaab jodkar
Mustafa se pyaar mat karo
Unke rab ne unse Yun kaha
Pooraa hoga aapka kaha
Ai Habeeb aap Raat din
Khud ko ashk-baar mat karo
Keh utha Nikal ke kufr se
Kaafiron se ‘Aashiq-e-Nabi
Ho chuka hun main rasool ka
Mera intezaar mat karo
Ai waseela-e-rasool ke
Munkiron Khade raho yahin
jibraEel ke paron pe tum
Pulsiraat paar mat karo
Zahiri Jo Inka haal hai
Ye Wahabiyon ki chaal hai
Kah Gaye Bareilly ke raza
Inka ai’tbaar mat karo
Rahamaten Jo chahiye tumhein
Barkatein Jo chahiye tumhein
Jhooth jisme bolna pade
Aisa kaarobaar mat karo
Aisa kuchh karo ki khuld hi
Chal ke aaye aap ki taraf
Azhar aap khuld ke liye
Khud Ko beqarar mat karo
shayar-e-islam:
hazrat maulana Azhar Farooqi
Na’at-Khwan :
Hazrat Ghulam gaus ghazali