ख्वाब ही में घर मेरा जन्नत बनाएं गौसे-पाक / Khwab Hi Mein Ghar Mera Jannat Banaye Ghouse-Paak

ख़्वाब ही में घर मेरा जन्नत बनाएं ग़ौसे-पाक
साथ में सरकार के तशरीफ़ लाएं‌ ग़ौसे-पाक

मुफ़लिसी नादारी दुनिया हो या मलकुल-मौत हो
कौन रोकेगा अगर मुझको बुलाएं ग़ौसे-पाक

मैं ये समझूंगा मुझे जन्नत का खाना मिल गया
अपने लंगर से अगर मुझको खिलाएं ग़ौसे-पाक

हो मुबारक जाने वालों उन से बस कहना यही
कब तलक हम हिज्र के आंसू बहाएं ग़ौसे-पाक

ऐसा हो जाए किसी दिन आपके दरबार में
मैं सुनाऊं मनक़बत और मुस्कुराएं ग़ौसे-पाक

ना’त-ख़्वां:
ह़ज़रत मुह़म्मद अ़ली फ़ैज़ी


Khwab hi mein ghar mera jannat banaye Ghouse-Paak
Saath mein Sarkar ke tashreef laaye Ghouse-Paak

Muflisi nadari duniya ho ya Malakul-maut ho
Kaun rokega agar mujhko bulaaye Ghouse-Paak

Main ye samjhunga mujhe jannat ka khana mil gaya
Apne langar se agar mujhko khilaye Ghouse-Paak

Ho mubarak jaane walon unse bas kehna yahi
Kab talak hum hijr ke aansoo bahaaye Ghouse-Paak

Aisa ho jaaye kisi din aapke darbaar mein
Main sunaoon manqabat aur muskuraye Ghouse-Paak

Na’at-Khwan:
Hazrat Muhammad Ali Faizi