खु़दा के नूर का जलवा दिखाने वाले हैं
ज़मी पे, अर्श से सरकार आने वाले हैं
नसीब ह़श्र में प्यासो का जग-मगाए गा
वो: आगए हैं जो कौसर पिलाने वाले हैं
चलो हुजूर के रोज़े पे झोलिया भर लें
हसन, हुसैन का सदका़ लुटाने वाले हैं
ये करबला है यहां बुज़ दिलों का काम नहीं
यहां तो जो भी है सब सर कटाने वाले हैं
हुज़ूर ताजुश्शरियह की ज़ात वाला है
वहाबियों के जो छक्के छुड़ाने वाले हैं
यजी़द तू हमें हरगिज़ मिटा नहीं सकता
के, हम तो नेज़े पे कु़रआं सुनाने वाले हैं
बता रही है ये मह़फ़िल की रौनकें यूसुफ़
हमारी बज़्म में सरकार आने वाले हैं
ना’त-ख्वां:
ह़ज़रत यूसुफ़ रज़ा कानपुरी
Khuda ke noor ka jalwa dikhane waale hain
Zameen pe, arsh se Sarkar aane waale hain
Naseeb hashr mein pyason ka jag-magaaye ga
Woh aa gaye hain jo Kausar pilane waale hain
Chalo Huzoor ke roza pe jholiyan bhar lein
Hasan, Hussain ka sadqa lutane waale hain
Ye Karbala hai yahan buzdilon ka kaam nahi
Yahan to jo bhi hai sab sar katane waale hain
Huzoor Tajushshariah ki zaat waala hai
Wahabiyon ke jo chhakke chhudane waale hain
Yazeed tu hamein har giz mita nahi sakta
Ke, ham to neze pe Quran sunane waale hain
Bata rahi hai ye mehfil ki raunaqe Yusuf
Hamari bazm mein Sarkar aane waale hain
Na’at-Khwan:
Hazrat Yusuf Raza Kanpuri