WhatsApp logo Join Naat Group

खुदा कर दे मुझे सदका अता अजमेर वाले का / Khuda Kar De Mujhe Sadqa Ata Ajmer Waale Ka

ख़ुदा कर दे मुझे सदक़ा अ़ता अजमेर वाले का
यही है हर घड़ी लब पर दुआ अजमेर वाले का

करम सब औलिया करते हैं अपने आस्ताने पर
त़रीका़ है मगर सब से जुदा अजमेर वाले का

उसे मैं दर-बदर फ़िरता नहीं देखा कभी वल्लाह
जिसे सदक़ा ज़माने में मिला अजमेर वाले का

न हूं मैं तख़्त वाले का न हूं मैं ताज वाले का
ख़ुदा के फ़ज़्ल से मैं हूं गदा अजमेर वाले का

यही कहते रहेंगे मरते दम तक आशिक़े-ख़्वाजा
बरैली से मिला हम को पता अजमेर वाले का

मुजावर जलता है तो क्यूं मेरे अह़मद रज़ा ख़ां से
रज़ा है जानो-दिल से जब फ़िदा अजमेर वाले का

अ़ली मुश्किल-कुशा-ओ-फ़ाति़मा ह़सनैन के सदक़े
अ़ता अस्ज़द को हो मौला ग़िज़ा अजमेर वाले का

शायरे-इस्लाम:
ह़ज़रत मोहम्मद अस्ज़द रिज़ा हसानी

ना’त-ख़्वां:
ह़ज़रत ताइश आलम मंज़री


Khuda Kar De Mujhe Sadqa Ata Ajmer Waale Ka
Yahi hai har ghadi lab par dua Ajmer waale ka

Karam sab auliya karte hain apne aastane par
Tareeqa hai magar sab se juda Ajmer waale ka

Use main dar-badar firta nahin dekha kabhi wallah
Jise sadqa zamaane mein mila Ajmer waale ka

Na hoon main takht waale ka na hun main taaj waale ka
Khuda ke fazl se main hoon gada Ajmer waale ka

Yahi kehte rahenge marte dam tak aashiqe-Khwaja
Bareilly se mila ham ko pata Ajmer waale ka

Mujawwar jalta hai tu kyun mere Ahmad Raza Khan se
Raza hai jaano-dil se jab fida Ajmer waale ka

Ali Mushkil Kusha-o-Fatima Hasanain ke sadqe
Ata Asjad ko ho Maula ghiza Ajmer waale ka

Shayare-islam:
Hazrat Muhammad Asjad Raza Hasani

Na’at-Khwan:
Hazrat Taish Alam Manzari