WhatsApp Join Naat Group

ख़ुदा का नहीं जो नबी का नहीं है | Khuda ka nahin jo Nabi ka nahin hai | hamara nahin woh kahin ka nahin hai

ख़ुदा का नहीं जो नबी का नहीं है
हमारा नहीं वो: कहीं का नहीं है

जहां में कोई फ़र्द ऐसा नहीं है
नबी का करम जिस पे बरसा नहीं है

हुसैनी हमें हौसला दे इलाही
हुसैन इब्ने-हैदर सा जज़्बा नहीं है

है छे माह का लेकिन मैदां में उतरा
जहां में कोई ऐसा बच्चा नहीं है

मेरे गौसे-आ़ज़म की ये शान देखो
जिसे मुर्दा कह दें वो: ज़िंदा नहीं है

दुकानों, मकानों, मसाजिद, मदारिस
कहां आ़ला हज़रत का चर्चा नहीं है

बहुत अज़हरी हैं ज़माने में लोगो
मगर कोई ताजुश्शरियह नहीं है

ये गुलज़ारे-मिल्लत ने फ़र्मा दिया है
रज़ा का नहीं जो, हमारा नहीं है

उठे मसलके-आ़ला हज़रत पे उंगली
ये हम सुन्नियों को गवारा नहीं है

ये आले-मुहम्मद का सदका़ है सादी
जहां में मेरा कोई शोरा नहीं है

ना’त-ख्वां:
ह़ज़रत ज़ाकिर रज़ा इस्माइली

Khuda ka nahin jo Nabi ka nahin hai
Hamara nahin woh kahin ka nahin hai

Jahan mein koi fard aisa nahin hai
Nabi ka karam jis pe barsa nahin hai

Husaini hamein hausla de Ilaahi
Husain Ibne-Haider sa jazba nahin hai

Hai chhe⁶ mah ka lekin maidan mein utra
Jahan mein koi aisa bachcha nahin hai

Mere Gause-Aazam ki ye shaan dekho
Jise murda keh dein woh zinda nahin hai

Dukanon, makanon, masajid, madaris
Kahan A’ala Hazrat ka charcha nahin hai

Bahut Azhari hain zamane mein logo
Magar koi Tajushshariah nahin hai

Ye Gulzare-Millat ne farma diya hai
Raza ka nahi jo, hamara nahin hai

Uthe maslake-A’ala Hazrat pe ungli
Ye ham sunniyon ko gawara nahin hai

Ye Aale-Muhammad ka sadqa hai Saadi
Jahan mein mera koi shora nahin hai

Na’at-khwan:
Hazrat Zakir Raza Ismaili