ख़ुदा का फ़ज़्ल है दामन मिला फ़ारूक़-ए-आ’ज़म का
हमारे सर पे है साया सदा फ़ारूक़-ए-आ’ज़म का
ख़ुदा ने ऊँचा रुत्बा कर दिया फ़ारूक़-ए-आ’ज़म का
बजेगा दहर में डंका सदा फ़ारूक़-ए-आ’ज़म का
फ़क़त एक ख़त से जारी कर दिया है नील का दरिया
इजारा तो कोई देखे ज़रा फ़ारूक़-ए-आ’ज़म का
नबी के हु़क्म को जो भी न माने सर क़लम कर दो
बहुत मशहूर है ये फ़ैसला फ़ारूक़-ए-आ’ज़म का
चले थे काटने को सर रसूल-ए-पाक का लेकिन
जो रू-ए-पाक देखा दिल झुका फ़ारूक़-ए-आ’ज़म का
मुझे ग़ैरों के दर पे जाने की हा़जत नहीं अश्’अर
ख़ुदा का फ़ज़्ल है मैं हूँ गदा फ़ा’रूक़-ए-आ’ज़म का
शायर-ए-इस्लाम:
अश्’अर नूरानी
ना’त-ख़्वाॅं:
अश्’अर नूरानी
Khuda ka fazl hai daaman mila Farooq-e-Aa’zam ka
Hamaare sar pe hai saaya sada Farooq-e-Aa’zam ka
Khuda ne ooncha rutba kar diya Farooq-e-Aa’zam ka
Bajega dahr mein danka sada Farooq-e-Aa’zam ka
Faqat ek khat se jaari kar diya hai Neel ka dariya
Ijaara to koi dekhe zara Farooq-e-Aa’zam ka
Nabi ke hukm ko jo bhi na maane sar qalam kar do
Bahut mashhoor hai ye faisla Farooq-e-Aa’zam ka
Chale the kaatne ko sar Rasool-e-Paak ka lekin
Jo roo-e-Paak dekha dil jhuka Farooq-e-Aa’zam ka
Mujhe ghairon ke dar pe jaane ki haajat nahi Ash’ar
Khuda ka fazl hai main hoon gada Farooq-e-Aa’zam ka
Shayar-e-Islam:
Hazrat Ash’ar Noorani
Na’at-Khwan:
Hazrat Ash’ar Noorani