ख़्याल गुम्बद-ए-ख़ज़रा का जा नहीं सकता
मैं मर तो सकता हूॅं वो दर भुला नहीं सकता
मिजा़ज ऐसा है शहर-ए-नबी की गलियों का
जो खा़ली जाता है वो खा़ली आ नहीं सकता
रसूल-ए-पाक को वो अपनी तरह बताता है
जो अपनी नाक से मक्खी हटा नहीं सकता
उठा लिया है नबी ने ‘अली को कांधे पर
‘अली को अब ये ज़माना झुका नहीं सकता
जिसे हु़सैन ने रौशन किया लहू देकर
कोई चराग़-ए-मोह़म्मद बुझा नहीं सकता
यज़ीद तेरी हु़कूमत पे लाख ला’नत हो
तू अपना चेहरा खु़दा को दिखा नहीं सकता
न जाने कितने ही फिर’औन आए ग़र्क हुए
खु़दा के दीन को कोई मिटा नहीं सकता
ज़माना कितना ही तरक़्की़ पसंद हो जाए
मदीना जैसा कोई शहर ला नहीं सकता
मैं खुश नसीब हूॅं सिद्दीक़ का गु़लाम हूॅं मैं
ज़कात-खोरों को सिद्दीक़ भा नहीं सकता
हु़सैन वाले तो हंस हंस के जान देते हैं
हु़सैन वालों को कोई डरा नहीं सकता
खुदा ने उनको बनाया है हा़ज़िर-ओ-नाज़िर
नबी से कोई भी चेहरा छुपा नहीं सकता
रज़ा की ज़ात पर उंगली उठा रहा है जो
रज़ा की जाॅ़द का नुक्ता उठा नहीं सकता
लगे हुए हैं जो हशमत ‘अली के दामन से
तो रज़वियों को कोई भी हिला नहीं सकता
शायर-ए-इस्लाम:
अज्ञात
ना’त-ख़्वाॅं:
हज़रत गु़लाम नूरे-मुजस्सम
Khayaal Gumbad-e-Khazra ka jaa nahin sakta
Main mar to sakta hoon, wo dar bhula nahin sakta
Mizaaj aisa hai shehr-e-Nabi ki galiyon ka
Jo khaali jaata hai, wo khaali aa nahin sakta
Rasool-e-Paak ko wo apni tarah bataata hai
Jo apni naak se makhi hata nahin sakta
Utha liya hai Nabi ne Ali ko kandhe par
Ali ko ab ye zamaana jhuka nahin sakta
Jise Husain ne roshan kiya lahoo dekar
Koi charaag-e-Muhammad bujha nahin sakta
Yazeed teri hukoomat pe laakh laa’nat ho
Tu apna chehra Khuda ko dikha nahin sakta
Na jaane kitne hi Firaun aaye gharq hue
Khuda ke deen ko koi mita nahin sakta
Zamaana kitna hi taraqqi pasand ho jaaye
Madinah jaisa koi shehar la nahin sakta
Main khush-naseeb hoon Siddeeq ka ghulaam hoon main
Zakaat-khoron ko Siddeeq bha nahin sakta
Husain waale to hans hans ke jaan dete hain
Husain waalon ko koi dara nahin sakta
Khuda ne unko banaya hai haazir-o-naazir
Nabi se koi bhi chehra chhupa nahin sakta
Raza ki zaat par ungli utha raha hai wo
Raza ki Zuaad ka nukta utha nahin sakta
Lage hue hain jo Hashmat ‘Ali ke daaman se
To Razviyon ko koi bhi hila nahin sakta
Shayar-e-islam:
Unknown
Na’at-Khwan:
Hazrat Ghulam Noore-Mujassam